Islamic Blog

Hazrate Ibrahim Alaihis Salam Bahut Mehman nawaz the. mankhul hain ki jab tak Aap ke dastarkhwan par mehman nahi Aa jate he Aap Khana nahi Tanavul farmate he. Ek din mehmano ka ek yesa kafila Aap ke ghar utar pada ki un mehmano se Aap khofzada ho gaye ye hazrat e Jibrael alaihis salam the jo 10 ya 12 farishton ko hamrah le kar tashrif laye the aur salam kar ke makan ke andar dakhil ho gaye. ye saab firishte nihayat hi khoob surath insano ki shakal me the avvalan to ye hazrate yese vakht tashrif laye jo mehmano ke ane ka vaqth nahi tha fir ye hazrate bagair ijazath talab kiye dandnate huve makan ke andar dakhil ho gaya fir jab hazrate ibrahim alaihis salam hasbe adath iss hazrate ki mehman navazi ke liye ek farba bhuna huva bachda laye to in hazrath ne khane se inkar kar diya. in mehmano ki mazkura bala tin adaon ki vajah se hazrate ibrahim alaihis salam ko kuch khdshaa guzara ki shayad ye log dushman hain kuinki uss zamane ka yehi ravaj tha ki dushman jis ghar me dushmani ke liye jata tha uss ghar me kuch khata pita nahi tha. chunanche, Aap iss mehmano se kuch khof mahsus farmane lage ye dekh kar hazrate jibrael alaihis salam ne kaha ki ye allah ke nabi alaihis salam Aap ham se bilkul koi khof na karen ham allah tala ke bheje huve Firishte hain aur ham do kamo ke liye aye hain pahla maksad to ye hai ki ham Aap ko ye bisharath sunne Aaye hain ki Aap ko Allah Tala ek ilm vala farzand Aata farmayega aur hamara dusra kaam ye hai ki ham hazrate loot alaihis salam ki khom par azab le kar aye hain.

Farzand ki bisharath sunkar hazrate ibrahim alaihis salam ki mukhaddas bivi hazrate “sara”chonk padi kuinki in ki umr ninnanve baras ki ho chuki thi aur vo kabhi hamila bhi nahi huyi thi tajjub se vo chillati huyi ayi aur haath se matha tonk kar kahne lagi ki kai mujh budiya banj ke bhi farzand hoga to hazrate jibrael alaihis salam ne kaha ki haan Aap ke raab ka yehi farman hai aur vo parvar dagar badi hikmaton vala bahut ilm vala hai. chunanche, Hazrate ishak alaihis salam paida huve.

Quran e Majid ne iss vaqhiye ko in lafzon me bayan farmaya hai ki

Malaika%2BMehman%2BBaan%2BKar%2BAye%2B01

Tarjuma E Kanzul Imaan:

Ye mahbub kai tumhare paas ibrahim ke muazzaz mehmano ki khabar ayi? jab vo uss ke pass Aa kar bole salam kaha salam na shanasa log hain fir apne ghar gaya to ek farba bachda le aya fir use un ke pass rakha kaha kai tum khate nahi to apne ji me un se darne laga. vo bole darye nahi aur use ek ilm vale ladke ki bisharath di iss par iss bivi chillati ayi fir apna matha thoka aur boli kai budiya banj? unhone  kaha tumhare raab ne yunhi farma diya hai aur vohi hakim dana hai.

Darse Hidayath:

             Iss vakhiye se ye hidayath ki roshni milti hai ki malayika kabhi kabhi admi ki surath me logon ke pass aya karte hain chunanche, Baaz rivayaton me Aaya hai ki haaj ke mokha par harme kaba aur mina va arfath va muzdalifa vagaira me kuch firishton ki jamath insano ki shakal va surath me mukhtalif bhes bana kar Aati hai jo hajiyon ke imtihan ke liye khuda ki taraf se bheji jati hai iss liye hujjaje kiram ko lazim hai ki makkaye mukarrama aur mina va arafath va muzdalifa aur tavafe kaba va ziyarate madinaye munavvara ke hujum me hoshiyar rahen ki hargiz hargiz kisi insan ki bhi be adabi va dil azari na hone paye aur taziron ya hamlon ya fakhiron se jhagda takrar na hone paye. tumhen kai khabar hai ki ye admi hai ya admi ki surath me koi farishta hai jo tumhen dhakka de kar ya dant kar tumhare hilm va sabr ka imtihan le raha hai ye vo nukta hai jis se Aam tor par log navakhif hai iss liye safre haj me khadam khadam par logon se ulajhte aur jhagadte rahte hai aur baaz avkhat dunya va akhirath ka shadid nuksaan va khasara udate hain. lihaza iss nuksane azim se bachne ki behtarin tadbir yehi hai ki har shaks ke bare me yehi khatra mahsus karte rahen ki shayad ye koi firishta ho jo tazir ya sayil ya mazdur ke bhes me hain aur fir usse sambhal kar baath chit karen aur hatta imkan uss ko razi rakhne ki koshik karen aur hargiz hargiz kisi talkha kalami ya sakht goyi ki nobath na ane den isi me salamati hai.
Source :http://sunnidawateislamiblogger.blogspot.in/
As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm