Islamic Blog

Rozah bhi Misl Namaaz Ke(namaaz ki Tarah) farze a’in hai – Iski Farziyat ka munkir kaafir aur bila uzr tark karne wala sakht gunehgaar aur dozakh ka mustaheeq (Haqdaar) hai . Jo bachche Rozah rakh sakte ho unko rakhaya jaaye.

ROZE KE TAARIF

Rozah Urfe shara’a Mein musalmaan ka ibaadat ki Niyyat se subah saadiq se Gurub – E – Aaftaab tak apne ko jaan bujhkar khaane peene aur jima’a(HumBistari) se baaz rakhne ko kehte hain.

Roze Ki Niyyat Ke Masail

Masla Adae Rozahe Ramzaan aur nazre mu’aiyyan aur nafl ke roze ke liye Niyyat ka waqt Gurube Aaftaab se Zuhuwe Kubra ( Shuru Zawaal ) Tak hai.

Masla Zuhuwe Kubra( Shuru Zawaal) Niyyat ka waqt Nahin bal k isse pehle Niyyat ho jaana zaroori hai aur khaas Zuhuwe Kubra (Shuru Zawaal) ke waqt Niyyat ki to Rozah na hua.

Masla Niyyat dil ke irade ka naam hai, Zubaan se kehna shart Nahin magar zubaan se keh lena mustahab hai.

Masla Agar raat Mein Niyyat kare to , yu kahe “…………………………..Arbi Dua…………………..” aur din Mein Niyyat kare to ye kahe “………………………Arbi  Dua…………………………….

Masla Raat Mein Niyyat ki phir uske  baad raat hi Mein khaaya, piya to Niyyat Nahin gayi, wahi pehli hi Niyyat kaafi hai phir Niyyat karne zaroori Nahin.

Masla Din Mein Niyyat Kare To Zaroori hai K Ye Niyyat Kare k Main Subha Saadiq Se Rozahdaar hu Aur Agar Ye Niyyat Hai k Abse Rozahdaar Hu Subha Se Nahin To Rozah Na Hua

Masla Din Mein woh Niyyat saheeh hai k subah sadiq se Niyyat karte waqt Rozah ke khilaaf koi amr na paya gaya ho-lihaza agar subah sadiq ke fauran baad Qasdan(Jaan Bujhkar) khaya, piya uske baad roze ki Niyyat ki to Rozah na hua aur agar subah sadiq ke baad bhool kar kha  pi liya ab Niyyat ki to Rozah ho jaayega.

Masla– Rozah Todhne ki Niyyat se Rozah Nahin tutega jab tak todhne waali cheez na kare

Rozah Todhne ka pakka irada kiya magar todha Nahin to Rozah Saheeh hai.

Masla Agar raat Mein roze ki Niyyat ki phir pakka irada kar liya ke Nahin rakhega to woh Niyyat jaati rahi agar nayee Niyyat na ki aur din bhar bhooka, pyaasa raha to Rozah na hua.

Masla Sehri khaana bhi  Niyyat hai khaah(chaahe) ramzaan ke roze ke liye ho ya kisi aur Rozah ke liye

Masla Sehri khaate waqt ye irada hai k subah ko Rozah na hoga To yeh sehri khaana Niyyat Nahin

Masla Adae Ramzaan aur nazrein mo’aiyyan aur Nafl ke alawa baaqi roze maslan qazae ramzaan aur nazre gair mo’aiyyan aur Nafl ki Qaza(yaani Nafl Rozah rakhkar todh diya tha uski qaza)inn sab Mein ain(exactly)subah chamakte waqt ya raat Mein Niyyat karna zaroori hai.

Masla Gurube Aaftaab Se Zuhuwe Kubra(Shuru Zawaal) tak sirf teen qism ke roze ki Niyyat ho sakti hai.

a.) Adae Ramzaan.

b.) Nazrein Mo’Aiyyan.

c.) Nafli Roze

Inke Alawa Jitne roze hain maslan – Qazae ramzaan wagairah to inki Niyyat ka waqt Gurube Aaftaab ke baad se Subah Sadiq ke chamakte waqt tak hai. To agar kisine ramzaan ke qaza roze ki Niyyat subah sadiq ke baad ki, Rozah na hua.

Source: madinasharif.wordpress.com

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm