Islamic Blog

(1) Jab jamat se namaz hoti hai aur namaz ke liye saff banti hai to kuch log aage jagah hone par saff puri karne ke liye aage nahi badhte, yaad rakhiye aage ki saaf wala ka sawab zyada hai, aur piche ki saff waalo ka kam, aap jitn aage honge utna sawab zyada hoga, isliye aage se aage namaz padhiye. aur jo khaali jagah ko bharne ki niyat se aage badhta hai, iska bahut sawab milta hai
(2) Agar aage ki saff mein jagah khaali hai to nai saff na banao, balke pehle aage ki saff puri karo, warna jo nai saff banai gai hai, unki namaz na hogi.
(3) Kuch log akele kone mein hi jamat se namaz padh lete hain, jamat se alag hat kar akele khade hokar namaz padhne se namaz na hogi,
(4) Jab saff mein khade ho to saff ek dam seedhi rakhe, seedhi rakhne ke liye apne lfet right khade logo ke takhno se takhne mila kar khade hon, aadi-tirchi saff bana kar khade hona theek nahi, agar aapke pass wala aage peeche ho raha ho to usko pyar se bolkar apni seedh mein kar lo.
(5) Jab saff mein khade ho to logo ke beech mein zyada khaali jagah na ho, balke chipak-chipak kar kaandhe se kandha milkar khade ho. agar beech mein khali jagah rahegi to waha shaitan khada ho jata hai aur namazi ke dil mein waswase daalta hai.
(6) Koi namaz padh raha ho to uske saamne se na niklo, agar iski Allah ke yaha di jaane waali saza bata di jae to insan insan 40 saal tak apni jagah se na uthe.
(7) Masjid mein duniya ki baate na karo, masjid mein duniya ki baate karna hamari nekiyo ko aese khatam karti hai jese aag lakdi ko.
(8) Masjid mein zor se hasna, zor se baat karna, bhaagna (chahe wo jamat paane ke liye bhaag raha ho) durust nahi.
(9) Jab bhi masjid mein jao to nafli etekaaf ki niyat kar lo, jab tak masjid mein rahoge, sawab milta rahega, chahe masjid mein kuch bhi na kar rahe ho.
(10) Ghar se wuzu bana kar masjid jaoge to sawab zyada milega.
(11) Jab aam dino mein masjid mein jao to jaate hi betho mat, pahle namaz padho, lekin juma ko jao to jaane ke baad thodi der betho, phir namaz padho.
(12) Juma ko agar khutba (arabi wala) shuru ho gaya ho to namaz padhne ke liye khade na ho, balke khutba dhyan se suno.
(13) Masjid mein hamesha right (seedha) per pahle andar rakho, aur bahar aate time ulta per bahar rakho.
(14) Masjid mein tek laga kar, ya per lambe karke bethna theek nahi.
(15) Kuch log Imam sahab ke Allahu akbar kahne se pahle hi ruku ya sajda mein chale jaate hain ye durust nahi
(16) Agar jamat se namaz ho rahi hai to namaz na padhte hue bethe rahna durust nahi, jesa kuch log taraweeh mein karte hain
Allah hum sabko amal ki taufik ata kare, aameen.

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm