Islamic Blog

● WAHABI AITERAAZ:

QABAR KE MUTALLIKH Ahadith:

Nabi(SAW) ne Hazrat Ali(RA) ko yeh hukm de kar bheja: “Jo Qabar OONCHI nazar aye, usey ‘Zameen ke BARABAR’ kar do”. (Muslim 2287)

Jabir(RA) se riwayat hai ke; Nabi(SAW) ne in baaton se MANA’A farmaya hai.

-Qabar ko PUKHTA karna, Qabar par BAITHNA, Qabar par koi IMAARAT banaana. (MusliM 2289)

Nabi(SAW) ne, QABRON par MASJID’ (Masjid-Sajdah karne ki jagah) banane wale par LA’ANAT farmayi hai. (Abu Dawood )

Aaj LOGON NE Pyare Nabi(SAW) ki Pyari ‘ HADEESON ko GIRAA’ kar, apne URS wale ‘Babaon ki QABRON’ ko pakki, Pukhta Imaaratein bana kar OONCHA kar diya hai.

● AHLE SUNNAT RESEARCH CENTRE KA JAWAB:

WAHABIYO NE IN AHAADITH KA GALAT MATLAB NIKAAL KAR MUSALMAANO KO GUMRAH KARNE AUR DHOKA DENE KI KOSHISH KI HAI.

ASL MEIN WAHABIYO KE BATIL MAZHAB MEIN NABI AUR WALI KI QABR PAR JANA HARAM AUR SHIRK HAI AUR WOH IN TAMAAM AMBIYA AUR AWLIYA KI MAZAARAAT KO GIRANA CHAHTE HAI HATTA KI WAHABI MADINA SHARIF MEIN HAMARE AAQA WA MAULA HUZOOR NABI YE KAREEM صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI QABR E MUBARAK AUR GUMBAD E KHAZRA KO BHI GIRANA CHAHTE HAI. MAAZALLAH.

IN SHA ALLAH IN TAMAAM HADITH KA SAHIH MATLAB AUR ISTIDLAAL MUHADISEEN KI SHARAH KI ROSHNI MEIN AUR HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KE DUSRI AHAADITH WA SAHABA KE AMAL SE DEKHTE HAI.

● WAHABIYO NE SAHIH MUSLIM KI EK HADITH PESH KI:

“Hazrat Abu Hayaaj Asdi رضي الله تعالى عنه bayan karte hai ki mujh se Hazrat Ali رضي الله تعالى عنه ne kaha. Kya mein tumhe us kaam ke liye na bheju jis kaam ke liye mujhe Rasulallah صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ne bheja tha ki mein har tasweer ko mita du aur har unchi Qabr ko (zameen ke) barabar kar du.

[● SAHIH MUSLIM, KITAB UL JANAIZ, JILD 1, PG NO 677]

JIN QABRON KO GIRANE KA HAZRAT ALI رضي الله تعالى عنه KO HUKM DIYA THA WO KUFFAR KI QUBUR THI, NA KE MUSALMANO KI.

● ISKI CHAND WAJA HAIN:

AWWAL TO YE KI HAZRAT ALI رضي الله تعالى عنه NE YE FARMAYA KI JIS KAAM KE LIYE HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ NE MUJHE BHEJA THA USI KE LIYE MAIN TUMHE BHEJHTA HUN, HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KE ZAMANE ME JIN QUBOOR KO MOULA ALI رضي الله تعالى عنه NE GIRAYA WO MUSALMANO KI NAHI HO SAKTI KYU KI HAR SAHABI KE DAFAN ME HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ SHIRKAT FARMATE THE. LIHAZA JIS QADR QUBOOR BANI YAA TO HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI MOUJUDGI ME YAA AAPKI IJAZAT SE. AB YE KAISE MUMKIN HAI KI JO QABRE KHUD HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI MAUJOODGI MEIN BANI WOH QABRE GALAT BANI HO AUR KHUD HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ UNHI QABRO KO GIRANE KA HUKM DE.

DUSRA YE KI JIN QUBOOR KO GIRANE KA HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ NE HUKM DIYA WO MUSHRIKEEN HI KI QUBOOR THI KYU KI ISI HADEES ME TASWEER KA BHI ZIKAR HAI TO WO KAUN SE MUSALMAN THE JIN KI QABRON PE TASVEER HUWA KARTI THI?

PATA CHALA KI JIN QABRO KO GIRANE KA HUKM DIYA GAYA THA WOH MUSALMAANO KI NAHI BALKI MUSHRIKEEN KI QABRE THI JIS PAR SHIRK HOTA THA.

● AB RAHA SAWAAL QABR KO PUKHTA BANANE KA:

Baaz log ye samajhte hai ki jo upar uncha cemented bana huwa hota hai woh Qabr hai. Qabr isko nahi kehte. Isko taweez kehte hai. Yaani Qabr ka nishaan. Qabr Arbi zabaan mein haqeeqat mein woh jagah hai zameen khodne ke baad jaha mayyit ko rakha jata hai. Khwa neeche gada khod kar khwa neeche daaye taraf jise band karte hai eeto se. Eeto ko band karne ke neeche jo zameen ka hissa hai Ulema e Arab kehte hai ki qabr woh hai. Upar to alaamat hai nishan pehchan ke liye hai ki yeh qabr hai. To jis mein mayyat rakhi jati hai woh qabr hai. Woh har koi kaccha rakhta hai aur hukm uska hai ki woh kacchi rehni chahiye. Baaki upar jo nishaan hai taweez ka ye uski pechaan ke liye alaamat ke liye hai ki baaz gar mit jaati hi. Is liye ye mubah hai. Gunah nahi. Jo Gunah ka amal hai woh ye ki jo neeche zameen ke jo khodi jati hai woh pakki na ho andar. Usko cemented na kiya jaye jism jahan rakha ja raha hai usko pakka na kare.

Aap Iraq jaye tamam mazarat isi tarah hai. Ahle Iraq ka bhi aqeeda yahi hai. Sham mein bhi tamam mazarat isi tarah hai. Yaani Ahle Syria ka aqeeda yahi hai. Ahle Misr ka aqeeda bhi yahi hai. Turkey mein bhi tamam mazarat isi tarah hai. Sara alam e Arab ka aqeeda yahi hai. Saudi Arab mein taqreeban pechle 90 saal ka ye taza aqeeda hai ki sahaba aur aam musalmano ki qabro ko mismaar kiya gaya hai.warna 90 saal qabl Saudi Arab mein bhi unchi mazarat aur gumbad hote the 1400 saal se. Hazrat fatima Zahra, Hazrat Usman, Halima Sadiya ki mazar par gumbad tha. Ahle Bait ke mazaro par bhi gumbad the. Hazrat Amina ki mazar par bhi gumbad tha. Yeh tamam mazarat aur gumbad giraye hai maazallah. 1925 mein jab Aale Saud aur Aale Shaikh iktedaar mein aaye tab yeh tamam mazarat buldoz kiye gaye to yeh saudi ka 70 saal wala aqeeda durust hai ya 1400 saal purana aqeeda?

● IN TAMAAM SAHIH AHAADITH SE PATA CHALTA HAI KI HUZOOR صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ AUR SAHABA KI QABRE ZAMEEN SE UNCHI THI.

HADITH:

Hazrat Sufyaan Tamaar رضي الله تعالى عنه se marwi hain ki unhoone bayaan kiya ki Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ki Qabr e Anwar ko dekha hain ki woh Kuhaan numa hain (yaani onchi- zameen se upar – elavated – convex).

[● Sahih Bukhari, kitab ul Janaiz]

Hazrat Imam Ebrahim Nakhie ne farmaya jiss shakhs ne Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ aur Sahibain ki Qabre dekhi hain uss ne mujhe khabar di hain ki woh sab zameen se ubhri huwi hai. Un par safeed sange marmar hain.

HADITH:

Hazrat Khaarja bin Zaid رضي الله تعالى عنه farmate hain Maine apne aap ko is haal mein dekha ki jawaan tha. “AEHAD E USMAAN رضي الله تعالى عنه MEIN WOH SHAKS SAB SE ZYADA CHALAANGE LAGANE WALA SAMJHA JATA THA JO USMAAN BIN MAZ’OON KI QABR FALAANG JATA.”

[ ● SAHIH BUKHARI, KITAB UL JANAIZ, JILD 1, PG 517]

BUKHARI KI SAHIH HADITH SE YE PATA CHALA KI KHUD HUZOOR NABI E KAREEM صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ KI AUR SAHABA E KIRAM KI QABRE ZAMEEN SE UNCHI HOTI THI.

● Imam Shamsuddin Sakhawi (902 H) Huzoor Nabi e Kareem صلی اللہُ علیہِ و آلہِ وسلمِ ke chacha Hazrat Hamza bin Abdul Muttalib رضي الله تعالى عنه ke tarjma mein likhte hai:

“UN KI QABR E MUBARAK PAR ‘QUBBA’ BANAYA GAYA, US KI ZIYARAT KI JAATI HAI AUR US SE BARKAT HASIL KI JAATI HAI.”

[● SHAMSUDEEN SAKHAWI, AL TAHFATUL LATIFA FI TAARIKHUL MADINA AL SHARIFA, JILD 1, PG 307]

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm