Islamic Blog

Assalamoalykum
Nabi (S.A.W) Ne Farmaya,
“Mazloom Ki Bad-Dua Se Bacho Q K Beshak Us (Bad-Dua) K Darmiyan
Or ALLAH K Darmiyan Koi Hijaab (Parda/ Rukawat) Nahi Bukhari Kitabuz Zakat H#1496
“Jo Logon Per Raham Nahi Karta ALLAH Us Per Raham Nahi Karta” Muslim
Kitabul Fazail
H#2319
Sahi Muslim Hadees SMS
Assalamoalykum

Al Hadees:
“Logon Me Sy Behtr Zindgi Us Shaks Ki Hy Jo Apnay Ghoray Ki Lgaam Ko
Allah Ki Raah Me Thamey Huay Hy Wo Jb B Kisi Shor Ya Ghbrahat Ki Aawaz Sunta Hy
To Wo Us Ki Peeth Pr Beth Kr Urta Hua Wahan Pohnchta Hy Or Wo Qattl Or Mout Ko Mout Ki Ghaatiyon Sy Tlaash Krta Hy.”
Namazi Aur Be Namazi
Aik Sahabi R.A Ne Aarz Ki:
Aay Allah K Nabi S.A.W.W Mere Ghar
Barkat Nahi Kiya Karon?
Aap S.A.W.W Ne Farmaya:
Aapne Ghar K Darwazay Par Parda Lgao Sahabi Ne Aisa Hi Kiya
Kuch Din Bad Phir Aaye Aarz Ki Aab Mere Ghar Buhat Barkat Hai
Lekin Parde Se Kiya Wasta?
Farmaya K:
Aap K Ghar K Pass Se Be Namazi Guzarty Hain Unki Nahusat Ghar Pe Prti Thi
Aur Barkt Nikal Jati Thi..
Socho Jis Ghar Me Hi Be Namazi Hoon To Kesy Barkt Ho?
Allah Taala Ky Khof Sy
Pyary Aaqa Muhammad (Saw) Ny Frmaya:
Jis Momin Bandy Ki Aankhon Sy Allah Ta’ala Ky Khof Sy Aanso Tapak Pary,
Khua Wo (Aanso) Makhi Ky Sar Ky Barabar Kyun Na Hon, Tu Allah Ta’ala Us Par
Jahannum Ki Aag Haraam Farma Dy Ga.
‘Ibny Maja’
Kitab-Uz-Zohad
Hades No: 4197
Sanad: Sahi

Meri Ummat Ki Pehchan
Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam Se Poocha Gaya Ke:
Aap Apni Ummat Ko (Medan-E-Hashar) May Doosri Ummato Ke (Be-Shumaar Logo Ke)
Dermian Kis Terha Pehchanege?
Fermaya Mere Umati Wuzu Ke Asar Se Noorani Chehre Aur Noorani Haath Paon Waley Honge, Inki Terha Aur Koi Nahi Hoga.
Muslim,Altaharah, H#247:248
Hazoor S.A.W K Visaal Ka Waqt
Jab Hazoor S.A.W K Visaal Ka Waqt Qareeb Aya,
To AAP S.A.W Ne Hazrat Izraeel
(A.S) Se Poocha K:
“Kiya Mari Umat Ko Bhi
Mout Ki Itni Takleef Bardasht Karni Parey Gi”
To Farishte Ne Farmaya:
“Jee”,
To AAP S.A.W Ki Aankh Mubarik Se Aansu Jaari
Ho Gaye,
To ALLAH Ne Farmaya:
“AE MUHAMMAD S.A.W Aap Ki Ummat
Agar Her Namaz K Foran Baad AYATUL-KURSI Parhe Ge
Tu Mout
K Waqt Uska 1 Paoo Duniya Main Hoga
Aur 1 Jannat Main.”
SUBHAAN ALLAH…!
Zyada Khush Naseeb
Ek Din Aik Sahabi Ne AAP S.A.W.W Se Arz Kya K
YAA RASOOLALLAH Hum Ne Aap Ko Dekha Aap Se Baat Ki Aur
Aap K Saath Khana Khaya Kya Hum Se Bhi Zyada Khush Naseeb Koi Hoga Is Dunya Mein AAP S.A.W.W Ne Farmaya K:
Tum Ne Mujhe Dekha Aur Suna To Eeman Laye Meri Aane Wali Ummat Jo Mujhe
Bina Dekhe Bina Sune Mujh Par Eeman Layegi Wo Tum Se Zyada Khush Naseeb Hogi.
(Subhan’allah)
Plz Aik Bar Darööd-Pak Par K
Apne Doston Ko Send Kr Den.

Hazrat Muhammad (S.A.W.W)
1 Aadmi Ka Oonth (Camel)
Raat Ko Buht Rota Tha, Wo Aadmi Hazrat Muhammad (S.A.W.W) K Pas Aya Or Sara Haal Btaya, Aap(S.A.W.W) Ne Oonth Se Ronay Ki Waja Puchi To Usne Kaha: Ye Raat Ko Esha Ki Namaz Parhy Baghair Sota Hy
To My Is K Bistar K Neechay Jalnay Wali Aag
Dekh K Rota Hun.
Sahaba Ko Bura Mat Kaho
Assalamoalykum

Al Hadees:
“Mere Sahaba Ko Bura Mat Kaho,
Qasam Us Zat Ki Jis K Hath Mai Meri Jan Hai, Ager Tum Mai Se Koi Ohod Pahaar Jitna Sona B ( Sadqay K Taur Par) Kharch Kar Dalay To Wo Un K Ek Mud Ya Us K Adhay(Sawab) Ko B Nahi Pohonch Sakta. (Sahi Muslim
Kitab Fazail Us Sahaba.2541)
Irshad-e-Nabwi S.A.W
Irshad-E-Nabwi S.A.W:
Aur Ek Wakt Aye Ga Jb Log Neki Ko Mayub Or Burae Pr Fakhr Krenge,
Us Wakt Har Trah Ki Asaaish Muyasir Ho Ge, Hr Ghar Me Nach Gana Hoga,
Log Mukhtlif Bemareo, Preshaneo Me Mubtla Honge, Maa Or Nokrani Me Koi Farq Na Ho Ga, Log Imartein Aik Dosre Se Unchi Banaen Ge, Aap S.A.W Ne Frmaya: K Jab Aisa Zamana Aye To Kasrat Se Astaghfar Prhna Kyu K Ye Sub Se Mufeed Amal Ho Ga,
Momin Na Taana Deta Hai
Assalamoalykum,
Al Hadees:
Nabi(Alai His Salam)Ne Farmaya:
Momin Na Taana Deta Hai, Na Laanat Krta Hai,Na Bad-Kalami Kerta Hai Or Na Hi Bey-Haya Hota Hai
(Bukhari:312 Termizi:1977)
Al Muhammadia Students,Khi
Sahi Muslim Hadees SMS
Assalamoalykum
Al Hadees:
“Logon Me Sy Behtr Zindgi Us Shaks Ki Hy Jo Apnay Ghoray Ki Lgaam Ko
Allah Ki Raah Me Thamey Huay Hy Wo Jb B Kisi Shor Ya Ghbrahat Ki Aawaz Sunta Hy
To Wo Us Ki Peeth Pr Beth Kr Urta Hua Wahan Pohnchta Hy Or Wo Qattl Or Mout Ko Mout Ki Ghaatiyon Sy Tlaash Krta Hy”
(Sahi Muslim)
Sahabi Ne Arz Kya
Aik Sahabi Ne AAP S.A.W.W Se Arz Kya K YA RASOOLALLAH:
Hum Ne Aap Ko Dekha Aap Se Baat Ki Aur Aap K Saath Khana Khaya
Kya Hum Se Bhi Zyada Khshnaseeb Koi Hoga Is Dunya Mein AAP S.A.W.W Ne Farmaya: K Tum Ne Mujhe Dekha Aur Suna To Eeman Laye Meri Aane Wali Ummat
Jo Mujhe Bina Dekhe Bina Sune Mujh Par Eeman Laye Gi Wo Tum Se Ziyada Khushnaseeb Hogi
Plz Ek Bar Darööd-Pak Parh Ker
Apne Döstön Kö Send Ker Dain.
“SUBHANALLAH”

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)