Islamic Blog

Question#1: Meraj ki Haqeeqat Quran se saabit Karen??
Jawab: Meraj Shareef ki Haqeeqat Quran e Majeed se Mulaahizah ho: Al-Quran:
Tarjuma: “Paaki hai jo apney Bandey ko raaton raat le gaya Masjid e Haraam se Masjid e Aqsa tak, jis k ird gird hum nebarkat rakhi, hum ne isey apni azeem nishaaniyan dikhain, beshak woh Sunta dekhta hai ”..
(Surah17/Isra(Bani Israel),Aayat#1, Parah#15)
Sarkar e Aazam (Sallalaho Alehe Wassallam) ka safar e Meraj ka zikar Quran e Majeed main Muta’addid Aayat main Mufassala, Majmalan, Kunyatan aur ishaaratan milta hai, Mutazzakkarah Aayat k ilaawa Surah An-Najm(53),Parah 27 ki ibtidai aayaat (1-18) musalsal mazaameen e meraj ka hi bayaan karti hain..
Mutazzakkarah Aayat main lafz aaya hai بِعَبۡدِہٖ is se muraad bandah hai q k Bandah Rooh aur jisam k ek saath honey se banta hai warna agar sirf Rooh hoti to Aayat main بِرُوۡحِہٖ aata..
Magar yahaan بِعَبۡدِہٖ bayaan karna yeh saabit karta hai k Meraj ka safar Sarkar e Aazam (Sallalaho Alehe Wassallam) ne rooh aur jisam k saath farmaaya..
Question#2:Hadees ka Mafhoom yun hai k Hazrat Ayesha Siddiqueah (Razi ALLAH Anhu) farmaati hain k Meraj ki raat Sarkar e Aazam (Sallalaho Alehe Wassallam) ka jisam gum na paaya is ka jawab den??
Jawab: Hazrat Shah Abdul Haq Muhaddis Dehelvi (Aleh Rehmah) farmaatey hain k Sarkar e Aazam (Sallalaho Alehe Wassallam) ko ek nahin balkey kai meraajen karai gai, jin main se ek Meraj Rooh aur jisam k saath huwi, baqiyah tamaam Merajen Sirf Roohani thin, Hazrat Ayesha (Razi ALLAH Anhu) ki hadees main jis meraj ka zikar hai woh Meraj e Roohani hai…
Question#3: Shab e Meraj Sarkar e Aazam (Sallalaho Alehe Wassallam) ki apney Rab Ta’ala ka deedaar karna ahadees ki roshni main saabit Karen??
Jawab: Sarkar e Aazam (Sallalaho Alehe Wassallam) ne Shab e Meraj apney Sir ki aankhon se RAB TA’ALA ka deedaar kiya..
Al-Hadees: Tarjuma: “ Hazrat Abdullah Ibn e Abbas (Razi ALLAH Anhu) se riwaayat hai k Sarkar e Aazam farmaatey hain k menay apney RAB E KAREEM ko dekha ”..
(Musnad Ahmed Az Kitaab: Deedaar e Ilaahi)
Is Hadees k baarey main Imam Jalaal ud Deen Sayooti (Aleh Rehmah) Khasais ul Kubra aur Allama Abdur Raouf Sharah Jamey Sageer main farmaatey hain k yeh Hadees SAHIH hai..
Al-Hadees: Tarjuma: “ Hazrat Jaabir se Riwaayat hai k Sarkar e Aazam (Sallalaho Alehe Wassallam) farmaatey hain k Be-shak ALLAH TA’ALA ne Hazrat Moosa (Aleh Salaam) ko dolat e Kalaam bakhshi aur mujhey apna Deedaar ata farmaaya, Mujh ko Shifa’at e Kubra o Hoz-e-kosar se fazeelat bakhshi ”..(Ba-hawala: Ibn-e-Asakar Az Kitaab: Deedaar e Ilaahi)
Al-Hadees:Tarjuma: “ Tibrani Mojam ul Auwsat main hai k Hazrat Ibn-e-Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne farmaaya, Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne apney RAB Azzawajal ko dekha, Akrama (Razi ALLAH Anhu) farmaatey hain k menay kaha kiya ALLAH TA’ALA ne nahin farmaya “لاتدرکہ الابصار وھو یدرک الابصار” Hazrat Ibn-e-Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne faramaya, Tum per Afsos hai k yeh to us waqt hai jab woh Apney Zaati Noor se jalwa gar ho, Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) ne apney RAB ko Do (2) Martabah dekha ”..(Ba-hawala:Tirmizi Shareef, Jild#2, Abwaab Tafseer ul Quran, Raqam ul Hadees#1205, Page#518, Matboo’a Fareed Book Lahore)
Al-Hadees:Tarjuma: “ Hazrat Akramah se Riwaayat hai Aayat e Kareemah “ماکزب الفوادمارایٰ” k baarey main Hazrat e Ibn e Abbas (Razi ALLAH Anhu) ne farmaaya, Huzoor (SallalahoAlehe Wassallam) ne ALLAH TA’ALA ko Dil (ki aankhon) se dekha ”..
(Ba-hawala: Tirmizi Shareef, Jild#2, Abwaab Tafseer ul Quran, Raqam ul Hadees#1207,Page#519, Matboo’a Fareed Book Lahore)
Aqeedah: Huzoor (Sallalaho Alehe Wassallam) k Khasais se Meraj hai k Masjid e Haraam se Masjid e Aqsa tak aur wahaan se Saaton Aasmaan aur Qursi o Arsh tak balkey balaey Arsh raat k ek Khufif Hissa main Ma’ jisam Shareef Tashreefle gaey aur woh Qurb e Khaas haasil huwa k kisi Bashar o Mulk ko kabhi haasil huwa na hoga, aur jamal e Ilaahi apney Sir ki aankhon se dekha, aur Kalaam e Ilaahi, Bil-wasta Suna aur Tamaam Malakut us Samaawat Wal Ard ko BilTafseel Zarrah Zarrah Mulaahizah farmaaya ..(Bahare Shari’at#1)
Question#4:Shab e Meraj ko Ibaadat ka khususi ehtamaam karna aur is raat ki barkaten ahadees ki roshni main saabit Karen??
Jawab:Shab e Meraj ko ALLAH TA’ALA k Mehboob Sarkar e Aazam (Sallalaho Alehe Wassallam) se nisbat hai, is liye is raat aur is din ki bari fazeelaten hain, ibaadat o riyaazat her raat main ba’is-e-sawab hai, magar mutabarrik aur muqaddas raaton main ibaadat ki fazeelat nihaayat mukhtalif hi ..
Hadees: “ Hazrat Anas Bin Maalik (Razi ALLAH Anhu) seriwaayat hai k Sarkar e Aazam (Sallalaho Alehe Wassallam) ne irshaad farmaaya, Rajab ki 27 raat main ibaadat karney waalonko 100 saal ki ibaadat ka sawab milta hai ”(Ehya ul Uloom, Musannif Imam Ghazaali (Aleh Rehmah), Jild#1, Page#373)

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm