Islamic Blog

HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ki rawangi ki khabar pakar ibn-a-ziyaad ne hurr bin rubahi ko ek hazaar ka lashkar dekar HAZRAT IMAM ko gher kar kufa me lane ke waste aage bhej diya. HAZRAT IMAM RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ne jab lashkar ko dekha to ek shaqs ko maloom karne ke liye bheja ke ye kaisa lashkar hai? itne me hurr ibn-a-rubahi khud HAZRAT IMAM ke samne aya aur kaihne laga ke mujhe ibn-a-ziyaad ne apko gher kar kufa me le jane ke liye bheja hai.HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ne is lashkar me khutba padhkar sunaya ke “A LOGO” mera irada idhar ane ka nahi tha, magar pai der pai tumhare khat pahuche. qaasid aye ke jald jao to mai aya . hurr bole KHUDA ki kasam. mai un khutoot se khabardaar nahi hu. HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ne faramay: magar tumhare isi lashkar me bahut se aise aadmi maojood hai jinhone mujhe khat likhe. fir apne khutoot padhkar sunaye. aksar ne sir niche kiya aur koi jawab na diya.hurr ne HAZRAT IMAM RADI ALLAHU TA`ALA ANHU se kaha ke ibn-a-ziyaad ne mujhe aapko gher kar kufa me chalne ka hukm diya hai magar mere hath kat jaye jo aap per talwaar uthau, chuki mukhaalif mere sath hai, isliye maslehat yahi hai ke mai aapke humraah (sath) rahu. raat ka aap mastoraat ka bahana karke alaahda utre aur jab lashkar wale se jaye to aap jis taraf chahe chale jaye.mai subah ko kuch dair jangal me talash karke wapas chala jaunga aur ibn-a-ziyaad se kuch bahna kar dunga.
(sirrus`shahadatain safa 16 tazkira safa 56 sacchi hiqayat hissadoyem bab 6 page no 367-368)

SABAK
======
HAZRAT IMAM HUSSAIN RADI ALLAHU TA`ALA ANHU mahez hujjat ke liye un logo ki dawat per waha aye the aur sirf deen ki himayet ke jazba aapko aage le gya. jo gustakh aapka mudda huqoomat haasil karna batate hai wo gaor kare baqaol unko aapka yahi mudda hota to aap us besar wa samani ke sath hargiz safar na farmate jabki aapko ilm tha ke dushman behad qavi hai aur hazaaro ki tadat me lashkar rakhta hai.idhar lashkar azeem udhar chand thode se paak log kiya koi aql ka dushman kaih sakta hai ke besar wa samani ke sath aap saltanat haasil karne ko nikle the? hargiz nahi balki aapko maidaan me sirf himayat deen ka jazba le gya tha,
NA APNI AAN KI KHATIR,NA APNI SHAAN KI KHATIR
WO MAIDA ME NIKAL AYE FAQAT IMAAN KI KHATIR .
To be continued………………………………………..

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)