Islamic Blog

Topic Islami Bhai aur Islami Behan ka Aapas me baat karna Kaisa ???
الْحَمْدُ للَّهِ رَبِّ الْعَـلَمِينَ
الصلوٰۃ والسلام علیک یا رسول اللہ
Yeh baat toh har koi Janta hai ki Yeh acchi baat nahi hai ki Gair Mard aur Aurat ek dusre se baatein karein Magar yeh kitni galat baat hai shayad Yeh sabko nahi pata Isko Zaroor padhein
Gair-mehram ke saath tallukat qayam karna unke saath rehne ke mutallik ek hadees pesh ki jaati hain, Nabiyon ke Sultan,Rehmat-e-Alamiyan,Sardar-e-do jahaan,Mehboob-e-Rehman عزوجل ,Mere Pyaare-Pyaare Aaqa Madine wale Mustafaصلی اللہ علیہ وسلم ka farman Haq Nishan hai, “Jab Gair Mard Aur Gair Aurat Tanhayi Mein Kisi Jagah Ek Saath Hote Hai, Toh Unke Saath Teesra Shaitan Hota Hai…”
{Tirmizi Sharif, Jild-1, Hadees No-1171}
الله اکبر
Ab aap ek musalman hone ke naate batayein ki jab kahin shaitan hazir ho kya woh chahega ki Musalman kuch neki kare ???
Hargiz-Hargiz nahi woh bada makkar hai uska kaam hi hai sirf Insaanon se gunaah karwana aur jahannam ki raah par lejana..Toh Ab ghar ke bade jaise Baap,Bhai,Ya Shohar ko chahiye agar aap Apne ghar ki Aurat ko kisi gair-Mard se baat karta dekhe toh usse samjhaye ki Aisa karna jaiz nahi hai yeh Amal accha nahi chahe sakhti kyun na karni pade unhe mana karein Balki jis tarha bhi ho usko samjhaye ki kisi gair-Mard se baatein na karein Warna phir ghar me ladayi, jhagde aur fasad hote hain Magar Aaj kal toh Yeh dekha jata hai ki Woh Mard khud kya apne ghar ki Aurat ko samjhaye woh toh khud social media par Saari Duniya ke Samne gair-Aurato se betakalluf baatein kar raha hota hai hasi mazak kar raha hota hai Ladkiyo ke Saath Kya yeh Apni Ghar ki Aurato ko yeh Photos upload karne se mana karega ki yeh khud gair Aurat ki photos par maze se likes aur Comment kar raha hota hai Ishi tarha shohar Aur Biwi bhi lage hote hain Gair-mehram se gappe ladane me jab ki ek dusre ko samjhana chahiye ki yeh amal bura hai isko shariat ne jaiz nahi kaha hai napasand kiya hai Magar kisiko kuch nahi padi hai “Sab chalta hai” ka naara buland hai deen kya kehta hai Shariat ka kya hukm hai Isse kisiko koi Lena dena nahi rahi bas Nafs jahan le jaa raha hai uske peeche chale jaa rahe hain Aaj ke daur me ek bahut bada fitna jisne Musalmano ko taqlif de rakhi hai woh yeh Hi hai ki Gair-mehram aapas me baatein karne se khud ko nahi rokte phir yeh chiz ishq-e-Majazi tak pohach jaati hai Jisne aaj Humein aur Hamari qaum ko barbaad karke rakha hai…
Ek Hadees-e-Paak ko Hamesha ke Liye Apne Dimaag me bitha lein, Pyaare Aaqa ﷺ ne Farmaya,”Dusro Ki Aurton Se Door Raho, Tumhari Aurtein Bhi Paak Daman Rahegi…”
[ Mustadrak,HadisNo. 7258 ]
Agar Aapne aise kaam kiye hain toh aapse “Madani Ilteja” hai ki ALLAH se Tauba Karein aur ALLAH na kare agar koi Ab bhi in Najaiz aur Gunaah wale kaam me mubtela hai toh Jald se Jald in kaamo ko chod dein Yaad rahe Rishta/Mangni hone ke Baad bhi Mard aur Aurat Gair-mehram hai aur unka baatein karna jaiz nahi he
Gaur karein,Yeh Zindagi barf (Ice) ki Manind hai jaise hateli par barf rakhte hain pighalne lagti hai aur aakhir khatam ho jata hai waise Hi yeh Zindagi jald hi khatam ho jayegi toh behtar yeh hai ki Aakhirat ke baare me zyada socha jaye Aur Duniya ki lazzato se chutkara paane ki koshish ki jaye..Sabse Behtarin Jihaad Woh hai Jisme Apne “Nafs” se Jung ki Jaye yeh nahi ki Jo Nafs ko accha lag raha hai Aap karte chale Jayein aur in duniyavi Lazzato ke Chakkar me Aakhirat ko bhul jayein !
“Aaj jawaani par itraane wale kal pachtayega,
Chadta Suraj dheere dheere dhalta hai dhal jayega…”

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm