Islamic Blog

Bismillahirrahmanirrahim

Hadith: Musalman ko jo takleef pahuchti hai us se uske gunaah kam hote jate hain

———————————–
Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya ALLAH Subhanahu jiske saath khair aur bhalaii karna chahta hai usey beemari ki takleef aur dusri musibaton mein mubtala kar deta hai.
Sahih Bukhari, Vol 7, 5645

Aisha Radi Allahu Anha se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya jo museebat kisi musalman ko pahunchti hai ALLAH taala use uske gunaahon ka kaffara kar deta hai , Ek kaanta bhi agar jism ke kisi hisse mein chubh jaye to wo bhi us shaksh ke gunaahon ka kaffara ban jata hai

Sahih Bukhari, Vol 6, 5640

———————————–

Narrated Abu Huraira Radi Allahu Anhu :ALLAH’s Apostle Sallallahu Alaihi wasallam said, “If ALLAH Subhanahu wants to do good to somebody, He afflicts him with trials.”
Sahih Bukhari, Book 70, 548

Abu Sa’id Al-Khudri aur Abu Hurairah Radi allahu anhuma se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi wasallam ne farmaya Musalaman jab bhi kisi Pareshani, Beemari, Ranj aur malal,Takleef aur Gam mein mubtala ho jata hai , yahan tak ki use koi kaanta bhi chub jata hai to ALLAH Subhanahu use uske gunaahon ka kaffara bana deta hai.

Sahih Bukhari, Vol 6, 5641

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm