Islamic Blog

(1). Taqbir-e-tahrim a ke waqt Allahu Akbar
kahena wajib hai.

(2). Puri sur-e-fateha (alahamdo sharif) pandha
wajib hai. Agar ek lafz bhi chhoot gaya to namaz
nahi hogi.

(3). Farz namaz ki pehli 2-rakat mai aur nafil wa
sunnat ki har rakat mai alahamdo sharif ke baad
dusri surah milana wajib hai.

(4). Sazda ki halat mai dono pao ki 3-3 ungliya ke
bet jamin se lagna wajib hai.

(5). Rukuh ke baad shidha khada hona aur achchhi
tarah itmenan se thaharna wajib hai. Jo log rukuh
se sidha khade bhi nahi hote aur sazde mai chale
jate hai unki namaz nahi hoti.

*Isi tarah dono sazdo ke bich tashalli se alahamdolillah ya
subhanallah pandhe jitni der itmenan se baithna
wajib hai*

Pahele sazde se sar uthakar shidhe
baithe hi nahi aur dusre sazde mai chale gaye to
namaz nahi hogi.

(6). 4-rakat wali namaz mai 2-rakat ke baad
attahyaat padhne ke liye baithna wajib hai. Agar
nahi baithe to yaad aane par sazda sahaw karne
se namaz ho jayegi. Agar sazda sahaw nahi kiya
to namaz nahi hogi.

(7). Puri attahyat padhna wajib hai.

(8). Imam ke liye fajar magrib aur isha ke namaz
mai buland awaz se kira’at karna wajib hai. Ishi
tarah johar aur ashar mai ahishta padhna wajib
hai. Iske khilaf karne par sazda sahaw karne par
hi namaz hogi warna nahi.

(9). Vittar ki namaz mai dua-e-qunut padhna wajib
hai.

(10). Imam ke pichhe namaz padhne ki halat mai
muktadi ko khamosh rahana wajib hai.

(11). 4-rakat wali namaz mai 3-rakat ke baad 4-
rakat ke liye khada hona wajib hai. Agar baithe
rahe aur yaad aane par fir khade huwe to sazda
sahaw karna padega.

Momin ki Namaz : page-88,89

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm