Islamic Blog

MASLA
=======
Nisaab ka maalik hai magar usper dain hai ke ada karne ke baad nisaab nahi raihti to zakat wajib nahi khuwah wo dain bande ka ho jaise karz zare saman (Qimat me dene wala rupya ya samaan) Kisi chiz ka tawaan ya ALLAH TA’ALA ka dain ho jaise zakate khiraaj masla koi shaks sirf ek nisaab ka maalik hai aur do saal guzar gye ke zakaat nahi di to sirf paihle saal ki zakaat wajib hai dusre saal ki nahi ke paihle saal ki zakaat is per dain hai iske nikalne ke baad nisaab baqi nahi raihti,lihaza dusre saal ki ZAKAT wajib nahi.yu hi agar 3 saal guzar gye magar tisre me ek saal ki baqi thi ke 5 dirham aur hasil hue jab bhi paihle hi saal ki zakaat wajib hai ke dusre aur tisre saal me zakaat nikalne ke baad nisaab baqi nahi.
Ha jis din ke wo 5 dirhaam hasil hue us din se ek saal tak agar nisaab baqi raih jaye to ab is saal ke pure hone per zakat na di fir sare maal ko halaak kar diya fir aur maal hasil kiya ke ye bakadre nisaab hai magar sal-A-awwal ki zakaat jo iske zimme dain hai usme se nikale to nisaab baqi nahi raihti to is naye saal ki zakaat wajib nahi aur agar us paihle maal ko isne kasdan (jaan bujhkar) halaak na kiya balki bila kasd halaak ho gya to uski zakaat jati rahi. Lihaza uski zakaat dain nahi to us surat me is naye saal ki zakaat wajib hai.
MASLA
======
Agar khud madyoon (karazdaar) nahi magar madyoon ka kafeel (zamanti)hai aur kafalat yani agar zaid rupya nahi dega to mai zimmedar hu jise zamanat me lena kaihte hai to zamanat ke rupya nikalne ke baad nisaab baqi nahi raihti zakaat wajib nahi maslan zaid ke pass hazaar rupya hai aur amr ne kisi se hazaar karz liye aur zaid ne uski kafalat ki to zaid per is surat me zakaat wajib nahi. Ke zaid ke pass agarche rupya hai magar amr ke karz ke mustagrak (ghire)hue hai ki karz khuwah ko ikhtiyaar hai ke zaid se mutalba kare aur rupya na milne per ye ikhtiyaar hai ke zaid ko kaid kara de to rupya dain me mustagrak hain. Lihaza zakaat wajib nahi. Aur agar amr ki das shakso ne kafalat ki aur sabke pass hazaar -hazaar rupya hai jab bhi unme se kisi per zakaat wajib nahi ki karz khuwa her ek se mutalba kar sakta hai aur na milne ki surat me jisko chahe kaid kara de.
MASLA
======
Jo dain miaadi ho wo mazhabe sahi me wujube zakaat ka manea nahi yani aisa dain hone per zakaat wajib raihti hai. Chuki aadtan dain mahar ka mutaalba nahi hota lihaza agarche shaoher ke zimme kitna hi dain na maher ho jab wo maalike nisaab hai zakaat wajib hai dain maher maal me se kam nahi kiya jayega. Khususan mahre muakkhar jo aam taor per yaha raij hai jiski ada ki koi miaad nahi(waqt) muayyan nahi hoti uske mutaalbe ka to aorat ko ikhtiyaar hi nahi jab tak maot ya talaq waqe na ho
(BAHAR-A-SHARYAT HISSA 5 SAFA 13-14)

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm