Islamic Blog

*KUCH ISTILAAHAAT KA KHULAASA*
27962796279627962796279627962796279627962796
*25aaFARZ kise kehte hai ?*
★ Jiska karna bohot zururi hai.
★ Jo shariat k qata-ei dalilon se sabit hao.
★ Farz ka inkar karnewala kaafir hai.
★ Baghair kisi sharaie majburi k chhodne wala FAASIQ OR AZAAB ka haqdar hai.
★ Aik baar bhi baghair uzr..majburi k farz namaaz jaan buj kr QAZA kare wo faasiq bade gunah karnewala or azaab k mustahiq hai.
*25aaWAAJIB kise kehte hai ?*
★ Jis ka karna zururi hai.
★ Jo shariat k zanni dalilon se sabit ho.
★ Jiska inkaar karnewala gumrah or badmazhab.
★ Baghair kisi uzr..majburi k chhodne wala faasiq or azaab ka mustahiq hai.
★ Kisi waajib ko jaan buj kr aik baar chhodna chhota gunah hai or baar baar chhodna bada gunah hai.
*25aaSUNNATE MUAKKADAH*
*kise kehte hai ?*
★ Jiska adaa karna zururi hai or adaa karne mein bada sawab hai.
★ Jisko Huzur..sallallahu alyhi wasallm..ne hamesa kiya ho or kabhi chhod diya ho.
★ Ittifaq se kbhi chhod dene par bhi ALLAH OR RASULULLAH naraz honge or hamesa chhodne wala azaab ka mustahiq hai.
★ Sunnate muakkadah hukm me waajib k qarib hai.
*25aaSUNNATE GHAIR MUAKKADAH*
*kise kehte hai ?*
★ Jisko karne se sawab milega.
★ Jisko Huzur..sallallahu alyhi wasallam..ne kiya ho or baghair uzr..majburi k kabhi chhod bhi diya ho.
★ Is sunnat ko chhod dene ko naa-pasand kiya lekin..na karne par azaab ya narazgi nahi.
*25aaMUSTAHAB kise kehte hai ?*
★ Har wo kaam jo shariat ki nazar mein pasandida ho or usko chhodne par kisi tarah ki naa-pasandidgi na ho.
★ Chaahe us kaam ko hamare AAQA ne kiya ho ya uski targhib di ho.
★ Bade Ulma ne use pasand kiya ho..Chahe hadis me uska zikar na aaya ho.
★ Iska karna sawab or na karne me koi azaab o itaab nhi.
*HAMAARA ISLAAM*

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm