Islamic Blog

Quran ko“Samjhe”or”Padhe”
Kya Quran-e-Kareem ko ”Sirf Padhna” hi kaafi hai?
Bila shuba, hamein Quran-e-Kareem ko zaroor padhna chahiye, kyunki baghair padhe hum isse kaise samajh sakte hein?
Ramzaan ka mahina aata hai, aur log “tote ki tarah” Quran padhna shuru kar dete hain, Ek kekhta hai, meine Ramzaan mein 2 Quran “khatam” kiye, Dusra kehta hai meine 4 Quran “khatam” kiye, Teesra kehta hai meinne Ramzaan mein 7 Quran “khatam” kiye.

Allah Ta’ala, Jisne Quran ko naazil kiya aur Nabi sallallahu alyihi wassallam jin par Quran naazil hua, Woh dono gawah hain…
QAYAMAT KE ROZ :
“AUR RASOOL KAHENGE, AEY MERE RABB, MERI QOUM NE IS QURAN KO CHHOR RAKHA THA”
[Surah Al Furqan 30]
Duniya mein Quran hi aesi Kitaab hai, jo sabse zyada padhi jaati hai, Magar afsos ki baat hai ki Quran hi wo Kitaab hai duniya mein, jo sabse zyada baghair samjhe padhi jaati hai ya Kuch log kehte hai Tum samajh nahi sakte ….

Ham tamam qism ki kitaben, maslan Physics, Chemistry, Engineering, Accounting, Medicine waghairah “puri tarah samajh” kar padhte hain, taaki in kitaabon se pura faydah hasil kiya ja sake. Magar, jab Quran padhte hain, to ham quraan ko “sirf padhte hain, lekin “samajh” kar nahin padhte.
Allah Ta’ala hamein Quraan-e-kareem ko samajh kar padhne aur uspe amal karne ki taufique ata’a farmayein…..
Ameen sum ameen…..😊😊😊

mm
Latest posts by Færhæn Ahmæd (see all)