Islamic Blog

1}Kya Aapne Kabhi Quran Ko
Samajh Kar Meaning Ke Sath Parha…???
2}Kya Apne
Kabhi Socha Quran Samajhne Ke Liye Utara Gaya
Hai.????
3}Kya Apko Pata Hai Quran Allah Talah Ka Hukm Hai ……????
4} kya Aap ko pata Hai
Allah talah farmata hai Ap Ne Hukm Yani Quran Sharif me : Aye Nabi Ab Hamne Ye ziqrah (Quran)
tum par Utara hai taki tum Logo tak pahunchawo Samjhawo Taki Log Khud Gaur Wa Fikra kare .
{Surah – Nahel,Ayat -44} Aaj ye Zimmedari Eman
Walo ki Hai ki Quran Ki Tabliqe kare Ameen Muslims Or GairMuslims Me..! [ kya Apko pata hai Quran or hadees Dono Aarbi me Nazil huwe hai islye hamko dono samjhna hai Naki Sirf hadees ko.]

5}Kya Apko Pata. hai Pyaare Nabi[S.a.w] Ne Logo Ko Quran Ke Zairye Nasihat Ki….
6}Kya Apko Pata Hai. Jis ne Quran Ko Samjhne Se Inkaar Kiya Uske Sare Amaal Barbaad.
7}kya Aap Ko Pata Hai. Quran Ko Samajh Kar
Parhna Har Insaan Ka Haqh Hai Na ki sirf Alim Or Mufti….??
8} Kya Aap Ko Pata Hai Quran
Allah Talah Ka Hukm Hai Or Hadees Huzur.S.A.w ka Tarika…
9}Kya Aap Ko Pata Hai Sahi Hadees Ke Kitab Ke Naam
1}Bukhari, 2}Muslim 3}Tirmizi 4}Abudawood,
5)Ibne- Majah. 6}Nisai …
ye Aisi kitab Hain Jo Har Jamaat KE logo ko Yakeen
karna hi hai chaye wo Alim ho ya Mufti…??

10} Kya Apko Pata Hai
Quran Ko Ap hindi Ya marathi English Me Samajh kar ilm hasil kar sakte hai Or Shirk Gunaah se Bach Sakte hai?
11}kya Apko Pata Hai. Agar Ap ko Parhna nahi Ata TO
Quran Hindi ya Marathi English Me sun kar samajh sakte Hai ya C.D. ya DVD Ke Zariye.. Ya ALIM ke paas jakar.
12} kya Aapko pata hai Quran ko samajhne se hi Musalman ek ho sakte hai. Quran ko samajhne se Bahot si bimariya Dilo ki bimariya hasad, jalan, firqa, parasti, shirk, ye sab ghunah se bach sakte hai.

Ya Allah Hamsab Musalmano ko Marte Dam-tak tere Paigamaat Quran ki tablig Karne wala bana.
Ameen.

mm
Latest posts by Færhæn Ahmæd (see all)