Islamic Blog

Dosto – RASOOL ULLAH Sallal Laho alaihe wasallam ki Umer Jab 40 ki Hui
To – AAP (s.a.w) ko Raat me -Jo bhi khwab me dikhayi deta – wahi sab -SUBHA ko Namudaar Hota
6 – mahine tak aise hi Raha
Phir Akhir – wo waqt Aa gya
Jab – JIBRAIL alaihissalam – *ALLAH *ki Mansha se – surah IQRA ki chand Aayate Leker – AAP (s.a.w) ke paas Tashreef Laye
Ye waqya – RAMADAN ki 21 Taarikh ko – PEER ( monday) ki Raat ko pesh Aaya
10 – 7 – 610 Eesvi ko
Us waqt AAP (s.a.w) GARE HIRA me Tanha the – ki AAP ke paas FARISHTA Aaya
Usne kaha – parho ( iqra)
AAP (s.a.w) ne kaha – mai parha Nahi hoon
Usne AAP ( s.a.w) ko Zorr se dabaya – ki AAP ki Saari TAQAT Nichor di
Phir – AAP ko chor ker kaha – PARHO
AAP ne phir kaha – mai parha Hua nahi hoon
Phir- usne dobara ‘pakar ker Dabocha
Phir chor ker kaha – PARHO
AAP ne wahi – Jawab diya
Farishte ne teesri baar phir pakar ker dabocha
Phir chor ker kaha
*(PARHO – APNE RAB KE NAAM SE JISNE PAIDA KIYA HAI – (USNE) INSAN KO KHOON KE LOTHRE SE PAIDA KIYA HAI – PARHO ‘ TUMHARA RAB NIHAYAT KAREEM HAI )*
surah no – 96 –ayat no – 1 se 3
** $UBHAN ALLAH **

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm