Islamic Blog

(1) MUSLIMAT:- Jo allah ki farma bardari karne wali ho.

(2) MUAAMINAT:- Allah­ aur uske RASOOLALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM par aur aakhirat ke din pe imaan lane wali.

(3) KANITAT:- Khud ki zindagi mein har mu’amle mein Allah ki taraf ruju karne wali,
Aur ussi se apni tamam hajate talab karne wali.
Aur Allah par hi bharosa karne wali..

(4) SADIKAT:- Sach ka sath dene wali..
Aur jhut se khud ko bachane wali..

(5) SABIRAT:- Musibat aane pe sabit kadam rehne wali.
Aur Allah ki marzi pe dukho ko sahen karnewali.

(6) KHASIAAT:- Allah ke aage jhukne wali.
Aur uske hukmo ka palan karne wali.

(7) MUTASADDIKAT:- Khu­d ke maal mein se miskino ka hissa nikalne wali aur sadka, khairat karnewali.

(8) SAYIMAT:- Roze rakhne wali..
Aur Allah ke ahkam ka palan karne wali.

(9) HAFIZAT:- Khud ki izzat ki hifazat karne wali.
Aur sharmo-hayaa ki hifazat karne wali aur parhezgar.

(10) ZAKIRAT:- Musalsa­lallah ka zikr karnewali.

Ye 10 khubiya Aurat ki Allah ne Qur’aan mein zikr ki hai.

Surah Ahzab aayat no : 35 mein,
Jiske andar ye khubiya payi gai..

InshaAllah wo aurat kamyaab ho sakti hai qayamat ke din.

Aameen Summameen.
JazzqkaAllahu Khairan.

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)