Islamic Blog

Assalamu Alaikum
*RASOOL ULLAH Sal Allahu Alayhe wasallam ke Daur me 2 Badi Hukumate thi
Faaras yani IRAN – aur- Dusri Rome
IRANI – Hukumat Aag ke Pujari the
Aur- ROMEN- EISAYI the-yani Ahle kitaab
Mush’rikine MAKKAH ki Humdardiya Faras ke Saath thi- Kyuki Faarsi Bhi Gair ALLAH ke Pujari the
Musalmano ki Humdardiya ROME ke Saath thi -isliye ki – Eisayi Bhi Musalmano ki Tarha Ahle kitab the – aur WAHIY aur PAIGHAMBER per Yakeen Rakhte the
614 Eisvi ke Baad – Aisa Huwa ki- Faarsi Hukumat ne Romi Hukumat ko Buri Tarha se Hara Diya-aur- Rome ke Badshah ko Uske Mulk se Bahar Khaderr Diya
is per Mushrikine MAKKAH ko Khushi aur Musalmano ko Ghum Huwa
Mushriko ne Hazrat Abu Baker (r.a) se Kaha > Aaj Hamare Bhai IRANIYO ne Tumhare Bhai Rumiyo ko Mita Diya – Kal Hum Bhi Tumhe isi Tarha Mita Denge
is per *ALLAH* ki Taraf se Sureh ROME ki Aayate *AAP(s.a.w) Per Utri
AL QURAN > {* HAAR GAYE ROOM WALE -PAAS WALE DESH ME – AUR – WOH IS HAAR KE BAAD JALD HI PHIR WAPAS FATEH PAYENGE – IKHTIYAR SAB *ALLAH* HI KA HAI – US ROZ MUSALMAN KHUSH HO RAHE HONGE – *ALLAH* JISE CHAHTA HAI MADAD KARTA HAI – ASAL GHALIB AUR MAHERBAN *WAHI* HAI – *ALLAH* KA WADA HAI – *ALLAH TALA* APNE WAADE KA “KHILAF” NAHI KARTA – LEKIN AKSAR LOG NAHI JAANTE – WOH TO DUNIYA KI ZINDAGI KE ZAAHIR KO JAANTE HAIN – AAKHIRAT SE TO BILKUL HI YEH BE KHABAR HAIN*}
Dosto – Zaahiri Taur per Quraan ki “Bhawisywani” Na Mumkin Nazar AATI Thi
Lekin -Musalmano ko *ALLAH* ke is Farman ka Poora Yakeen Tha
isiliye – Hazrat Abu Bakar (r.a) ne Abu JaheL se Shart Baandh Li – ki- Roomi 5 SaaL ke Ander Dobara Ghalib Aa Jayenge
AAP (s.a.w) ko Jab Yeh Maloom Huwa -to- AAPNE Farmaya – ki- in Aayat me Bida ka Lafz Aaya Hai – joki 3 se10 tak ke Adad me Shumaar Hota Hai-Tum iski Muddat Barwa Lo
AAP (s.a.w) ki Hidayat per AbuBakar (r.a) ne Shart ki Muddat me izafa karwa Liya
Dosto – Shartt ki Muddat se Pahle Hi- yani- 7 ve Saal Hi -Roomi Dobara Faaras per GHALIB Aa Gaye
Jisse – Yakinan Musalmano ko Badi Khushi Huyi
Dosto- Rawayto me Hai- Roomiyo ko Yeh Fatah Us Waqt Huyi – Jab- BADAR me Musalmano ko- Kafiro per GHALBA Haasil Huwa
isse Musalmano ki Khushi me Aur izafa Ho gya
Roomiyo ki Yeh Fatah QURAN E KAREEM ki Sachchayi ki Ek Bahut Badi DALEEL Hai
QURAN ki is Aayat ko aur TAAREEKH ke is Wakiye ko Koi Nahi JHUTLA Sakta
>>>>> SUBHAN ALLAH <<<<<
《 ALLAH O AKBAR 》

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm