Islamic Blog

ASSALAM O ALAIKUM
Hazrat Muhammad (sallalaho
alaihe wasallam) ne farmaya::
Jab Sahbe Quran Qayamt ke din
Allah ke Darbar mein jaaega to
Quran Allah se darkhwast
(request) karega ki isko joda ata
kariye, Allah ki taraf se us insan
ko karamat ka taaj pahnaya
jaega, quran phir darkhwast
karega, aye mere Rab aur
pahnaiye to Allah ki taraf se
ikraam ka pura joda pahnaya
jaaega.. quran phir darkhwast
karega aye mere Rab is shaqs se
raazi ho jaiye (yaani iske gunaho
ko maaf kar dijiye aur jannat
mein bhej dijiye) to Allah us se
raazi ho jayega. phir us insan se
kaha jaaega… Ja, Quraan padhta
ja aur jannat ke darwazon par
chadhta ja aur teri har ayat ke
badle me ek neki badha di
jaaegi…
(Tirmizi shareef 2910 )
Bhaiyo-bahno, hum roz TV
dekhne ke liye time nikaal lete
hain, Newspaper/magazine
padhne ke liye time nikaal lete
hain, bas hamare pass time nahi
hai to quran sharif padhne ke
liye nahi hai?Thoda time quran
ke liye bhi nikaliye, kyonki yahi
kaam aana hai, baaki hamara
knowledge, entertainment sab
yahi rah jaana hai.
Ya Allah Hum Sabko Quran
Padhne, uska tarjuma/tafseer
samajhne aur us par amal karne
Ki Taufeeq Ata Farma.. Ameen

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm