Islamic Blog

HADITH
=======
TIBRAANI IBN E ABBAS RADI ALLAHU TA’ALA ANHUMA se Rawi hai KI NABI KAREEM SALLALLAHU TA’ALA ALLAIHI WA SALLAM ne irshad farmaya : Jo Rupiya EID ke din QURBAANI me kharch kiya gaya us se ziyadah koi Rupiya piyara nahi .

MASLA:
=======
Malik e nisab se murad itna maal hona hai jitne maal se sadka e fitr wajib hota hai. yani hajat e asliya ke alawa 200dirham (sade 52 tola chandi)ya 20 dinar (sade 7 tola sona) ka malik ho .
(qanoon e sharyat page no 211)

MASLA:
=======
Jo shaqs 200 dirham ya 20 dinar ka malik ho ya hajat ke siwa kisi aisi chiz ka malik ho jiski qimat 200 dirham ho to wo gani hai usper qurbani wajib hai.
(qanoon e sharyat page no 211)

QURBANI KA WAQT
================
10 dasvi zilhijja ki subah sadik se 12 ke guroob e aftab tak yani 3 din aur 2 rate lekin 10 dasvi shab me afzal hai fir 11 v fir 12 .
(qanoon e sharyat page no 211)

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)