Islamic Blog

Qurbani Ka Jaanwar Kharid Te Waqt In 4 Chizo Aur Aankh Kaan Ka Khayal Rakhe !!

1) Mahfum-e-Hadees: Bara Bin Aazib (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Se Poocha Gaya,
“Kis Jaanwar Ki Qurbani Se Bachna Chaehai?”
*Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Fermaya – “4 Qism Ke Jaawaro Se Bachna Chahiye,
1) Langra: Jiska Langrapan Zahir Ho, 2) Bhainga: Jiska Bhaingapan Zahir Ho,
3) Beemar: Jiski Beemari Wazeh Ho, Aur 4) Kamzor: Jiski Haddiyo Me Gooda Na Ho.”
– (Musnad Ahmed, 301/4)

2) Mahfum-e-Hadees: Huzaifa (Razi’Allahu Anhu) Se Riwayat Hai Ke,
Rasool’Allah (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ne Humain Hukm Diya Ke –
“Hum (Qurbani Ka Jaanwar) Kharidtey Waqt Iski Aankhain
Aur Kaan Achi Terha Daikh Lain.”
– (Ibn Khuzaima, H# 2914, 2915 Mustadrik Hakim, H#467/1, 220/4)

*Note: Iska Khas Khayal Rakhe Hum Tehqeeq Tou Karte Hee Hai
Par Shayad Iss Lihaz Se Ke Kahi Hamara Nuqsaan Na Ho Jaye,..
Balki Isey Rasool’Allah Ki Sunnat Samaj Kar Kare ,..
Insha’Allah Hume Iska Sawab Bhi Milega ,…

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm