Islamic Blog

BAQRA EID KI 10 VI TAREEKH SE LEKAR 12 VI TAREEKH KI SHAAM ( SURAJ GUROOB HONE SE PEHLE) TAK QURBANI KA WAQT HE, IN DINO ME JAB CHAHE QURBANI KAR SAKTE HAI, LEKIN PEHLA DIN AFZAL HE, FIR DOOSRA,

IN 3 DINO KE DORAAN RAAT KE WAQT QURBANI KARNA BHI JAIZ TO HE LEKIN BEHTAR NAHI,

SHEHAR( CITY) ME NAMAZE EID SE PEHLE QURBANI KARNA DURUST NAHI, AGAR KISI NE EID SE PEHLE JANWAR ZIBAH KAR LIYA TO YE GOSHT KA JANWAR HUA, QURBANI KA NAHI,

ALBATTA DEHAAT (SMALL VILLAGE)ME JAHA EID KI NAMAZ NAHI HOTI EID KE DIN SUBEH SADIQ TULOO’A HO JANE KE BAAD QURBANI KARNA DURUST HE,

🔵 AGAR SHEHRI AADMI KHUD TO SHEHAR ME MOJOOD HE, MAGAR QURBANI KA JANWAR DEHAAT ME BHEJ DE AUR WAHA SUBEH SADIQ KE BAAD QURBANI HO JAYE TO DURUST HE,

AGAR IN 3 DINO KE ANDAR MUSAFIR APNE WATAN PAHUNCH GAYA YA USNE KAHI AQAMAT KI NIYAT KAR LI AUR WO SAHIBE NISAAB HE TO USKE ZIMME QURBANI WAJIB HOGI,

🔵 JIS SHAKHS KE ZIMME QURBANI WAJIB HE USKE LIYE IN DINO ME QURBANI KA JANWAR ZIBAH KARNA HI LAZIM HE, AGAR ITNI RAQAM SADQA KHERAAT KAR DE TO QURBANI ADA NAHI HOGI AUR YE SHAKHS GUNAHGAR HOGA,

JIS SHAKHS PER QURBANI WAJIB THI AUR IN 3 DINO ME QURBANI NAHI KI TO USKE BAAD QURBANI KARNA DURUST NAHI, ESE SHAKHS KO TAUBA ASTAGFAR KARTE HUE QURBANI KE JANWAR KI MALIYAT SADQA KHERAAT KARNA CHAHIYE,


🔜ONTINUE IN SHA ALLAH TA’ALA

📚 *AAPKE MASAIL OR UNKA HAL*
📃 *JILD-4, SAFA 165*

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)