Islamic Blog

❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈

*_✦вɪѕмɪʟʟααнɪʀʀαнмαռɪʀʀαнєєм✦_*

*_Qurbani Ke Masail_*

*Kisi doosre ki taraf se Niyat karna*

🔵Qurbani me niyabat ja’iz he yani jis shakhs ke zimme qurbani wajib he agar uski ijazat se ya hukm se doosre shakhs ne uski taraf se qurbani kar di to ja’iz he, lekin agar kisi shakhs ke hukm ke bager uski taraf se qurbani ki to qurbani nahi hogi, isi tarah agar kisi shakhs ko uske hukm ke bager shareek kiya (hisse me)gaya to kisi ki bhi qurbani ja’iz nahi hogi,

Aadmi ki zimme apni aulad ki taraf se qurbani karna zaroori nahi, agar aulad balig he aur maaldar ho to khud kare,

🔵 isi tarah Mard ke zimme Bivi ki taraf se qurbani karna lazim nahi,Agar bivi sahibe nisaab ho to uske liye alag qurbani ka intzam kiya jae,

Jis shakhs ko Allah ne tofeeq di ho woh apni wajib qurbani ke alawah apne marhoom Walden aur digar buzurgo ki taraf se bhi qurbani kare, iska bada azro sawab he,lekin pehle apni wajib qurbani ki jaye,

🔵 Hujoor Akram Sallallahu Alaihivasallam ke bhi hum per bade ahsanaat aur huqooq hai, Allah ta’ala ne gunjaish di ho to Aap S A ki taraf se bhi qurbani ki jae, magar apni Wajib qurbani pehle lazim he, usko chhodna ja’iz nahi,

Qurbani ka janwar zibah karte waqt zaban se niyat ke alfaz padna zaroori nahi, balki dil me niyay karna kafi he, aur Jo Duae hadees Paak me manqool he agar kisi ko yaad ho to unka padna mustahab he,


🔜ontinue in sha Allah ta’ala

📚 *Aapke masail or unka Hal,,*
📃 *JILD-4, safa 166*
❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈ ❈

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)