Islamic Blog

Maah e Ramazaan Mubarak.
2666266626662666266626662666266626662666

Ramazaan lafz ‘Ramad’ se bana hai jis ka ma’ana hai Tapaana ya Jala dena.
Is mubarak mahine me musalman Roze ki ibaadat me bhuk pyaas ki shiddat bardaasht karte hain aur ALLĀH ta’ala apne fazl wa rahmat se un ke gunaah jalaakar mita deta hai aur Parhezgaari ki taufiq ata farmaata hai.

*******************
Qur’an :
2 Surah al-Baqarah, Aayat 185 :

Ramazaan ka mahina (mubarak hai) jis me Qur’an naazil hua hai jo logo ke liye hidaayat hai aur raahnumaai karne wala hai aur (haq wa baatil me) imtiyaaz karne waali nishaaniya hain, Pas tum me se jo koi is mahine ko paa le to wo us ke Roze zaroor rakhe aur jo koi beemaar ho ya safar par ho to dusre dino (ke roze) se ginti puri kare, ALLĀH tumhare haq me aasaani chaahta hai aur tumhare liye dushwaari nahi chaahta, Aur is liye ke tum ginti puri kar sako aur us ne tumhe jo hidaayat farmaai hai us par us ki badai bayaan karo aur is liye ke tum shukr guzaar ban jaao.

Hadeeṡ e Nabawi :

(1) Hazrate Abu Huraira radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki :
Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘Jab Maah e Ramazaan ki pehli raat hoti hai to shaitaan aur sarkash jinn qaid kar liye jaate hain aur Jahannam ke darwaaze band kar diye jaate hain aur un me se koi darwaaza khola nahi jaata aur Jannat ke darwaaze khol diye jaate hain aur un me se koi darwaaza band nahi kya jaata aur Munaadi pukarta hai, Aye khair ki talab karne wale, Mutawajjeh ho aur burai ka iraada rakhne wale burai se baaz reh aur ALLĀH ta’ala bahot se logo ko dozakh se aazad karta hai aur har raat aisa hota hai.’
(Tirmizi;
Ibne Maajah)

(2) Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke
‘Ramazaan me Zikr e Ilāhi karne waala bakhsh diya jaata hai aur is mahine me ALLĀH se maangne wala mehroom nahi rehta.’
(Sho’ab ul Eimaan, Hadeeṡ -3627)

(3) Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke
‘Jis kisi ne is (Maah e Ramazaan) me ALLĀH ki raza ki khaatir bhala kaam kiya to wo aam dino ke muqaabil ek farz ke barabar sawaab kamaaya. Aur jo koi is mubarak Maah me ek farz amal ada karega to goya us ne aam dino ke muqaabil 70 guna zyada ṡawaab kamaaya.’
(Ibne Khuzaymah, Hadeeṡ -1887)

(4) Hazrat Abu Huraira Radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki
Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
‘Ramazaan me ek raat aisi hai jo hazaar mahino se behtar hai jo is ki bhalaiyo se mehroom raha wo beshak mehroom hai.’
(Nasai)

(4) Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke
‘Maah e Ramazaan sabr ka mahina hai aur sabr ka ajr Jannat hai.’

(5) Huzoor Nabi e kareem sallallāhu alaihi wa sallam ne irshaad farmaaya ke
‘Jo Musalman Jum’aa ki raat ya din me ya Ramazaan ke pure mahine me (Din ya raat me) mare use Qabr me sawaal nahi hoga.’
(Musand Imaam Ahmad, Hadeeṡ -8080)

********************
Ye Mubarak mahina tamaam mahino ka sardaar hai.

Jis ke Pehla ashra Rahmat ka, Dusra ashra Maghfirat ka aur Aakhri ashra dozakh se najaat ka hai.
Aur is me Shab e Qadr ki mubarak raat aati hai, jo hazaar mahino se afzal hai.

Is me ALLĀH ta’ala Shaitaan ko qaid me daal deta hai.
Aur is Mo’mino me zyada Ibaadat karne ka jazba aur dilchaspi paida hoti hai.

ALLĀH ta’ala har neki ka ṡawaab zyada ata karta hai aur Duaen bhi jaldi qubool farmaata hai.
Nafl ka sawaab Farz ke barabar hota hai aur Farz ka sawaab 70 guna hota hai.

Is mahine marne waale ko ALLĀH ta’ala bakhsh deta hai.

Mo’min ko chaahiye ke wo Roza, Namaaz, Tilawaat e Qur’an, Zikr, Durood o salaam, Zakaat, Sadqa, Khairaat karke Rab ta’ala ko raazi karne ki koshish kare.

Is mubarak mahine me khaas kar Iftaar ke waqt ALLĀH ta’ala sab ki nek jaa’iz dua qubool farmaata hai.
Is liye sab ke liye dua karen ki ALLĀH ta’ala hume ye mubarak mahina baar baar ata farmae.

Maahe Ramazaan ka Chaand dekhkar Surah an-Naas padhen :

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ
قُلْ أَعُوذُ بِرَبِّ النَّاسِ
مَلِكِ النَّاسِ
إِلَٰهِ النَّاسِ
مِنْ شَرِّ الْوَسْوَاسِ الْخَنَّاسِ
الَّذِي يُوَسْوِسُ فِي صُدُورِ النَّاسِ
مِنَ الْجِنَّةِ وَالنَّاسِ

Bismillāh ir-Rahmān ir-Raheem.
Qul aoozu bi-rabbin naas.
Malikin naas.
Ilāhin naas.
Min sharril waswaasil khannaas.
Al-lazee yuwaswisu fee sudoorin naas.
Minal jinnati wan naas.

Phir ye masnoon dua padhen :

ﺍﻟﻠَّﻬُﻢَّ ﺃَﻫِﻠَّﻪُ ﻋﻠَﻴْﻨَﺎ ﺑِﺎﻷَﻣْﻦِ ﻭﺍﻹِﻳﻤَﺎﻥِ ﻭَﺍﻟﺴَّﻼﻣَﺔِ ﻭﺍﻹِﺳْﻼﻡِ ، ﺭَﺑّﻲ ﻭﺭَﺑُّﻚَ ﺍﻟﻠَّﻪ ، هِلالُ رُشْدٍ وخَيْرٍ
Allāhumma ahillahu alayna bil amni wal eimaani was salaamati wal islaami Rabbi wa Rabbuk-Allāh hilaalu rushdin wa khairin.

Tarjuma :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Aye ALLĀH is (mahine) ko hum par amn aur eimaan aur salaamati aur islaam ke saath , Mera Rab aur tera Rab ALLĀH hai ye chaand hidaayat aur khair waala ho.
(Tirmizi, Jild -2, Hadeeṡ -1376 /Hasan)

Phir ye padhen :
Wal hamdulillāhillazee khalaqa wa qaddaralaka manazila wa jalaka aaayatan lil aalameen.

****************
Maah e Ramazaan khaas din :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
1 Ramazaan – Yaum e Wilaadat Hazrat Ghauṡ e aazam Shaikh Abdul Qaadir Jeelaani radiy-Allāhu ta’ala anhu;
1 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Peer Muhammad Fazal Ali Shaah Qureshi rahmatullāhi alaihi (Miskeenpur / Pakistan);
3 Ramazaan – Yaum e Wisaal Khaatoon e Jannat Sayyeda Faatima Zahra radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena munawwara);
3 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Meer Sayyed Abdul Waahid Bilgrami rahmatullāhi alaihi (Bilgram, Uttar Pradesh);
3 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Azeez-ud-deen Husain Munemi rahmatullāhi alaihi (Patna, Bihar);
7 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Badr-ud-deen Qaadri rahmatullāhi alaihi;
7 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Haashim Peer Dastageer rahmatullāhi alaihi (Bijapur, Karnataka);
7 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Abdullāh ibne Mas’ood radiy-Allāhu ta’ala anhu (Madeena Munawwara);
10 Ramazaan – Yaum e Wisaal Ummul mo’mineen Hazrat Khadeejatul Kubra radiy-Allāhu ta’ala anha (Makka mukarrama);
10 Ramazaan – Yaum e wisaal Hazrat Khwaja Soofi Hameed-ud-deen Nagori rahmatullāhi alaihi (Delhi).
13 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Sirri Saqati rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);
13 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Muhammad Ibrāheem Soofi Siddeeqi rahmatullāhi alaihi (Ajmer, Rajasthan);
14 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Muhammad Ghaus Gwaliori rahmatullāhi alaihi (Gwalior, Madhya Pradesh);
14 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Makhdoom Husaam-ud-deen Chishti rahmatullāhi alaihi (Manikpur, Uttar Pradesh);
14 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sultaan Mazhar Wali rahmatullāhi alaihi (Tiruchirappalli);
14 Ramazaan – Yaum e Wilaadat Hazrat Imaam Hasan al-Mujtaba radiy-Allāhu ta’ala anhu;
16 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Tabr-e-Aalam Sayyed Shaah Mutaahir-ud-deen Suhrawardi urfe Nathar Wali rahmatullāhi alaihi (Tiruchirappalli, Tamil Nadu);
16 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Shaah Aal-e-Muhammad rahmatullāhi alaihi (Marehra, Uttar Pradesh);
16 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Shaah Muhammad Abdul Kareem Hyderabadi rahmatullāhi alaihi (Hyderabad, Telangana);
17 Ramazaan – Jang e Badr;
17 Ramazaan – Yaum e Wisaal Ummul mo’mineen Hazrate Aa’isha Siddeeqa radiy-Allāhu ta’ala anha (Madeena Munawwara);
17 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Khawaja Naseer-ud-deen Mahmood Chiraag e Delhi rahmatullāhi alaihi (Delhi);
17 Ramazaan –Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Sharf-ud-deen Bu Ali Shaah Qalandar rahmatullāhi alaihi (Panipat, Haryana);
17 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Muhammad Iqbaal Shaah Chishti rahmatullāhi alaihi;
18 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Khawaja Muhammad Aabid Sunami Naqshbandi rahmatullāhi alaihi (Delhi);
18 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Rehaan Raza Khan rahmatullāhi alaihi (Bareilly, Uttar Pradesh);
20 Ramazaan – Fateh Makka;
21 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Ali al-Murtaza radiy-Allāhu ta’ala anhu (Najaf / Iraq);
21 Ramazaan – Yaum e Wisaal Imaam Ali bin Moosā Raza rahmatullāhi alaihi (Baghdad / Iraq);
21 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaah Ali Husain Baaqi rahmatullāhi alaihi (Patna, Bihar);
22 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Imaam Muhammad ibne Maajah rahmatullāhi alaihi (Qazvin / Iran);
26 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Maulana Hidaayat Rasool rahmatullāhi alaihi;
26 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Sayyed Ahmad Saeed Kaazmi rahmatullāhi alaihi (Multan / Pakistan);
27 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Shaikh Saleem Chishti rahmatullāhi alaihi (Fatehpur Sikri, Uttar Pradesh);
29 Ramazaan – Yaum e Wisaal Hazrat Amr bin Aas radiy-Allāhu ta’ala anhu (Fustat / Egypt).

****************
Ramazaan ki aamad :

 

*****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Maahe Ramazaan ki ta’azeem karne ki aur is me sahi tareeqe se zyada ibaadat karne ki aur is ke foyuz o barkaat haasil karne ki taufiq ata farmae aur gunaaho se bachne ki taufiq ata farmae aur hamare nek amal qubool farmae aur In buzurgaane deen ko isaal e ṡawaab karne ki taufiq ata farmae.
Aur Islaam ka bolbala ata farmae.
Aur Sab ko dunya aur aakhirat me bhalai aur kaamyaabi ata farm

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm