Islamic Blog

(“Bismillah-Hirrahman-Nirrahim: Allah Ke Naam Se Shuru Jo Nihayat Maherbaan Aur Rahem Wala Hai”)

*Tamam Tareefe Uss Allah Azawazzal Ke Liye Jo Tamam Jahano Ko Banana Wala Aur Usey Palney Wala Hai
Aur Durood-o-Salaam Ho Uskey Aakhri Nabi-e-Kareem (ﷺ) Par..

★ RAMZAN KI AHMIYAT ?
*Sabse Pahli Baat Ke – “Kisi Cheez Ki Agar Hume Ahmiyat Na Maloom Ho Tou Fir Uska Fayda Bhi Hum Nahi Utha Patey Hai..”
*Aur Dusri Baat Ke – “Kisi Cheez Ke Agar Masail Maloom Na Ho Tou Uska Sahi Istemaal Bhi Hum Nahi Kar Patey Hai ..”

* Usi Tarha Agar Hum “Ramzan” Ke Fazail Nahi Jaan Sakenge Tou Uski Ahmiyat Nahi Jaan Sakenge, Aur Uske Masail Nahi Janenge Tou Uska Sahi Fayda Hum Nahi Utha Payenge ..

*Tou Wo Mahina Jo Humpar Aanewala Hai Uski Kya Ahmiyat Hai, Uski Kya Fazail Hai Insha’Allah Iss Unwan Me Hum Aapki Khidmat Me Mukhtasar Sa Rakhne Ki Koshish Karenge ?

.. Aayiye Nabi-e-Kareem (ﷺ) Aur Sahaba Ke Liye Ramzan Kaise Hua Karte They Wo Jaan Letey Hai,… Wohi Asal Mayar Hai Humare Liye ,…

☼ Nabi-e-Kareem (ﷺ) Aur Sahaba Ke Liye Ramzan Ki Ahmiyat Kya Thi ?
♥ Mehfum-e-Hadees: Aahadees Me Aata Hai Ke ? Jo Hi Ramzan Ka Mahina Kareeb Aata Tou Nabi-e-Kareem (Sallallahu Alaihay Wasallam) Kamarbasta Ho Jatey ,.. – (Sahih Bukhari , Vol 3, 2024)
– @[156344474474186:]

» Yaani Tayyar Ho Jaatey,..
» Sadqe Aur Khairaat Ke Liye Tayyar Ho Jatey,..
» Rozo Ke Liye Tayyar Ho Jaatey ,..
» Qiamullail Ke Liye Tayyar Ho Jaatey ,..
» Zikr O Azkar Ke Liye Tayyar Ho Jatey ,..
» Tilawatey Quraan Me Ijaafe Ke Liye Tayyar Ho Jatey,..

• Har Kism Ki Ibadati Tayyari Aap (ﷺ) Ki Aur Sahaba Ki Hoti Thi,..
• Jab Ramzan Aa Raha Hai Tou Unki Zehno Me Ibadatey Ghum Rahi Hai ,…
• Kaise Mere Roze Mukammil Ho , Khusu Aur Khuju Ke Saath Ho ,.. Koi Kami Na Aaye

*Isi Tayyariyo Me Sahaba Lag Gaye ,.. *Nabi-e-Karam (ﷺ) Lag Gaye ,.. *Ummaha-Tul-Mominin Lag Gaye,.. *Sahabiyat Lag Gayi,..
• Pura Mu’ashra Isi Tayyari Me Laga Ke Ramzan Me Kaisi Ibadate Ho, Kaise Mai Jyada Se Jyada Ibadatey Karu ,..
Ye Thi Unki Tayyari ,..

# Kitna Fark Hai Humari Aur Unki Tayyariyo Me ? ..
* Humari Tayyario Me Siway Duniya Ke Aur Kuch Nahi ,..
* Aur Unki Tayyariyo Me Siway Aakhirat Ke Aur Kuch Bhi Nahi ,..

..Tou Ye Ek Mousam Aa Raha Hai Hum Par ,.. Ek Behtareen Mouka Hume Mil Raha Hai ,.. *Ek Jabardast Mahina Aa Raha Hai ,..

• Ye Bohot Hi Afsos Ke Sath Kehne Waali Baat Hai Ke Iss Mahine Ki Aamad Par Siwaye Duniya Ke Humare Jehno Me Kuch Bhi Nahi Aa Raha Hai ,..

• Aisa Kyu Hua? Kyu Humne Ramzan Ki Asal Ahmiyat Nahi Jaani ?

*Isiliye Kyunki Humne Ramzan Ka Asal Maksad, Iski Ahmiyat , Iski Fazilat Aur Masail Ki Hakikat Ko Jan’na Jaruri Na Samjha ! Jiski Wajah Se Haq Dhire Dhire Humari Jindagiyo Se Faramosh Hota Gaya Aur Jahalat Hum Par Aati Rahi ..
* * * * *

★ ROZE KA MAKSAD:
Allah Rabbul Izzat Ne Surah Baqraah Ki Aayat 183 Me Farmaya Aur Kaha:
♥ Al-Quraan: “Aye Emaan Walo Tum Par Roze Farz Kiye Gaye Jaise Tumse Pichli Ummato Par Farz Kiye They Taake Kahi Tum Taqwa Ikhtiyar Karo”. – (Al-Quraan 2:183)

… Tou *Taqwa Roze Ke Maksad Hai,.. *Taqwa Ramzan Ka Maksad Hai ,.. *Taqwa Roze Ka Paigaam Hai ,.. *Taqwa Ramzan Ka Paigaam Hai ,..

Aur Allah Rabbul Izzat Ne Baar-Baar Iss Paigaam Ko Dohraaya –
“Aye Wo Logo Jo Imaan Laye Ho Taqwa Ikhiyar Karo” Aur Ye Aayat Quraan Me Baar–Baar Repeat Hui Hai ,..

….Tou Gour Karne Waali Baat Hai Ke Taqwa Yaani Allah Ka Darr Jo Ki Bohot Hi Ahmiyat Waali Baat Hai Jiska Paigam Hume Diya Gaya,..

• Isiliye Kyunki: *Allah Ka Darr Jab Insan Me Aa Jata Hai Tou Insan Haram Aur Halal Ki Tamiz Karne Lagta Hai,..
*Deeno Shariyat Aur Duniyawi Fizul Kaamo Me Fark Karne Lagta Hai ,.. *Duniya Par Aakhirat Ko Tarji Deney Lagta Hai,,.. *Dhokeybazi , Jhuth Aur Tamam Buiri Khaslato Se Ahtiyat Karta Hai ,. .

*Tou Insha’Allah Iss Unwan Me Hum Iske Taaluk Se Mukhatar Sa Bayan Karne Ki Koshish Karenge,..

To be continue …

Source: http://ummat-e-nabi.com/

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm