Islamic Blog

Allah ne ramzan ke roze farz kiye aur taraweeh ko sunnat kiya, isse ye maalum hua ke taraweeh ka hukm bhi khud Allah ki taraf se hai. Dusri hadeeso mein hai ke hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ke maine taraweeh ko sunnat kiya, is baat se hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne taraweeh padhne ki taakid farmai hai.
Bahut se log samajhte hain ke jaha taraweeh mein 8-10 din mein quran poora kar liya jata hai, waha taraweeh padh lene ke baad taraweeh ka haq ada ho jaata hai, ab bhale hi bache hue dino mein taraweeh na padhi jaae to bhi thik hai, to un logo ko ye samajhna chahiye ke quran ka pura sunna ek alag sunnat hai aur taraweeh ka poore ramzan padhna ek alag sunnat hai. Isliye koi 8-10 mein quran khatam karne waali taraweeh bhi padh le to bhi usko bache hue dino mein taraweeh padhna zaruri hai.
Wese 8-10 din mein quran pura karne waali taraweeh un logo ke liye behtar hai jo zyada sawab kamana chahte hain ya unko business/job ke silsile mein bahar jana hota hai, kyonke wo 8-10 din mein pura quran sun lete hain phir jaha unko time mile taraweeh padh li.
Bahut se log ye bhi samajhte hain ke 27wi shab ko quran pura hone ke baad taraweeh nahi padhna hai, jabki us din to quran pura kiya jata hai lekin taraweeh to eid se ek din pahle tak padhna hai.
Allah hum sabko poore ramzan taraweeh padhne ke taufik ata kare. Aameen.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm