Islamic Blog

Hadees– hazrat Abu Hurairah Radiyallahu T’aala anhu se Riwayat hai k Rasoolullah sallallaahu t’aala alaihi wasallam ne farmaya “ JO BOORI BAAT KeHNa AUR USPAR AMAL KARNa NAHIN ChhOdhE TO  ALLAH T’aala Ko Uski Kuch Haajat Nahin K Usne Khaana Peena Chhodh Diya Hai. (BUKHARI ,TIRMIZI SHARIF)

Hadees: HAZRAT ABU HURAIRAH Radiyallahu t’aala anhu se Riwayat Hai k Rasoolullah sallallaahu t‘aala Alaihi Wasallam Ne Irshaad farmaya “rozah Uska naam Nahin k khaane peene se baaz Rehna ho rozah to ye hai k bekaar aur behooda baaton se bacha jaaye(haakim)

Masla: Jhoot, Geebat, Chugli,Gaali dena Behooda baat kisi ko takleef dena k ye cheezein waise bhi na jaayez -o-haraam hain roze Mein aur zyaada haraam. aur inki wajah se roze Mein karahat Aati hai

Masla: Rozahdar ko bila uzr kisi cheez ka chakhna ya chabana makrooh hai.

Masla:chakhne ke liye uzr ye hai k maslan kisi aurat ka shouhar bad mijaaz hai k namak kam wa zyaada hoga to naaraaz hoga to iss wajah se chakhne Mein harj Nahin.

Masla: chakhne ke wo maana Nahin k jo aaj kal aam rivaaj hai yaani Kisi cheez ka mazah maloom karne ke liye Usme se thoda kha lena k Yu to karahat kaisi Rozah hi toot jaayega . balki kaffara ke sharait Paaye jaayen to kaffara  bhi LazIm hoga.

Masla: chakhne se muraAd ye hai k zubaan par rakhkar Mazah maloom karle aur use thook de Uss Me se Halaq Mein Kuch Na Jaana Paaye Warna Rozah Toot jaayega

Masla: T.V dekhna,Cricket, Badminton, mobile aur computer game ,carom, football, volley ball, chess, hockey ,tennis,card, ludo,wagairah khelna aur dino Mein bhi Na jaayez-o-gunaah hai ramzaan sharif Mein aur sakht gunaah aur isse Rozah Bhi makhrooh hota hai.

Masla: gulaab ya itr wagairah sunghna daadhi, mooch Mein tel lagaana aur surma lagaana makhrooh Nahin.

Masla: Roze Mein miswaak karna makhrooh Nahin balki jaise aur dino Mein sunnat hai roze Meiin bhi sunnat hai.

Masla: roze Mein manjan, toothpaste,wagairah ka istemal makhrooh hai aur agar ye cheezein halaq se neeche utar gayi to Rozah toot gaya.

Masla: rozahdar ke liye kulli karne aur naak Mein paani charhaane Mein mubaalga karna makrooh hai.

Mubaalga karne ke ye matlab hai k bhar munh paani le

Masla: thandak pahunchaane ke liye kulli karna ya gusl karne makhrooh Nahin

Masla: munh Mein thook ikattha karke nigal jaana makhrooh hai

Source:madinasharif.wordpress.com

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm