Islamic Blog

HADEES:-
**********
Kaab Ahbaar Se Riwayat Hain Ki Ek Bar Hazrat Bibi Fatima Radi-Allahu-Ta’aala-Anha Bimaar Hui! Hazrat Ali Radi-Allahu-Ta’aala-Anhu Ne Unse Pucha Ki Duniya Ki Chizon Mayse Tumahra Dil Kis Chiz Ko Chahta Hain! Jawab Diya Anaar Ko, Hazrat Ali Kuch Daer Keliye Soch May Padgaye Kyonki Unke Paas Kaudi Paisa Na Tha! Fir Bazaar May Aaye Aur Ek Dirham Udhaar Leker Anaar Kharida Aur Ghar Ki Taraf Chale! Raaste May Ek Bimaar Aadmi Ko Sadak Per Pada Dekha! Aap Taher Gaye Aur Usse Pucha Ki Tera Dil Kis Chiz Ko Chahta Hain? Usne Kaha Aye Ali! May 5 Din Se Yahan Pada Hoon, Bahoatse Aadmi Mere Paas Se Gujar Gaye Magar Kisine Meri Taraf Nigah Na Ki! Mera Dil Anaar Khane Ko Chahta Hain!

Hazrat Ali Apne Dil May Kehne Lage Ki Agar Main Ise Anaar Khila Du To Fatima Mehroom Rehti Hain Aur Agar Mana Kardu To ALLAH Ki Nafarmani Hoti Hain, Jo Farmata Hain Ki Sayil Ko Na Zhidko!

Chunanche, Aapne Anaar Todker Us Bimaar Ko Khilaya Aur Wo Usi Waqt Tandrust Hoker Uth Baitha! Udhar Sadqe Ki Barkat Se Bibi Fatima Ko Sehat Hasil Hogayi! Hazrat Ali Sharmaye Hue Ghar May Dakhil Hue! Hazrat Fatima Uneh Dekhker Khadi Hogayi, Hazrat Ali Ne Uneh Saara Maajra Sunaya! Wo Boli Aap Ghamgeen Kyon Hote Hain? ALLAH-TA’AALA Ke Izzat-O-Jalaal Ki Kasam, Udhar Aapne Us Bimaar Ko Anaar Khilaya, Idhar Mere Dil Se Uski Khwayish Jati Rahi!

Hazrat Ali Is Baat Se Bahoat Khush Hue! Itne May Ek Shaks Ne Zanjeer Khat-Khatayi! Hazrat Ali Ne Farmaya Kaun? Jawab Aaya Salmaan Fharsi, Zara Darwaza Kholiye! Aapne Darwaza Khola! Dekha Ki Salmaan Ke Hath May Kapde Se Dhaka Hua Ek Thaal Hain! Salmaan Ne Wo Thaal Hazrat Ali Ke Aage Rakh Diya! Hazrat Ali Ne Pucha Yeh Kahan Se Aaya! Salmaan Ne Farmaya, ALLAH-TA’AALA Ki Taraf Se Rasool Ko Aur Rasool Ki Taraf Se Aapko Hadhiyah Bheja Gaya Hain! Kapda Uthaker Dekha To 9 Anaar The! Us Waqt Hazrat Ali Ne Farmaya, Ki Agar Yeh Hadhiyah ALLAH Ki Taraf Se Hota To 10 Anaar Hote, Kyonki ALLAH-TA’AALA Ka Qaul Hain Ki Jo Ek Neki Karta Hain Use 10 Mila Karti Hain! Salmaan Yeh Sunker Has Pade Aur Apni Aastin Mayse Ek Anaar Nikaalker Thaal May Rakh Diya Aur Bole, Aye Ali! Khuda Ki Kasam, Anaar To 10 Hi The Lekin Maine Aapka Imtehaan Lene Ki Niyat Se Ek Chupa Liya Tha!

(Rauzatul Muttakeen)

(KAJH Pg-668-669-670)

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)