Islamic Blog

Sar ka dard bahut tarah ka hota hai tention ya ziyadah chillane ya fir shor sharabe ki wajah bhi ho sakta hai ya garmi se bhi or nazla zukam mein bhi sar ka dard ho sakta hai head pain or half head pain dono hi kafi mushkil mein daal dete hain aise mein samajh mein nahi aata ki aakhir iska upay kya hai or bina doctor ki ray ke bazari dawa goliyan lena start kar dete hain jiss ki wajha se na jane kitni bimariyan hamare jisam mein or paida hojati hai
Chand Quraani desi aur gharelu ilaj likh raha hun jinko use karne se insha allah aapke sir dard ko jana hi padega

Jab dard e sir ho to uss waqt soonth -sukhi adrak- ko thode se pani mein ghiss kar soonth ka ghisa huaa hissa peshani par mal len insha allah dard e sir ya aadhe sir mein hairat naak faydah hoga

Sukhe huwe dhaniyan ke kuchh dane aur kishmish ke chand dane matke ke thhande ya sada pani mein bhigokar pilen insha allah dard e sir mein kafi ifaqah hoga

Hot milk_garam doodh mein desi ghee milakar piya jaye to bhi sir ke dard mein aur badan dard mein fayda aur sukoon milta hai

Coconet_Naaryal ka pani kuchh dinun tak istemal kiya jaye to Aadha sisi cici Or pure sir ke dard mein zabardast faydah milta hai _use coconet water every day and get better & exillent health very usefull it’s your good health

Normal garam pani ko 1 tab ya kisi bede bartan mein daal kar ussmein hisaab se namak-saalt-  dalen or fir apne dono pair iss mein dal kar 10 12 minat tak under hi rakhen isse bhi aadhe sar ka dard khatam aur pairun mein jisko Alergi ho khaskar sardiyun mein perun ki ungliyan sooj jati hai jiski wajah se kafi dard hota hai iske liye bhi yahi kar len insha allah kafi fayda or sukoon milaga

Sar Dard Ki Dua In Hindi

 

 لَّا یُصَدَّعُوۡنَ عَنْہَا وَلَا یُنۡزِفُوۡنَ

(p 27 الواقِعہ)
(ला युसद दाऊना अनहा वला युनजिफूना)
जिसके सर में दर्द हो उस पर 3 बार पढ़ कर दम करें ( फूँक दें )
Ye ayat e karima 3 baar awwal aakhir durood shrif 1 baar padhkar dard e sir ke mariz par dam karden insha allah bahut fayda hoga

Aadhe sir Ya Pure Sir Ke Dard Ka Ilaj

Suratun Naas [qul aauzu bi rabbin naas] 7 Baar first and last koi bhi durood shrif padhkar dam kare Agar fir bhi dard kam na ho to Fir se yahi amal kare yani 3 baar aise karlen kaisa hi dard ho chahe half ho ya pure sar ka dard insha allah complet sukoon mil jayega yeh bahut hi mujarrab ul mujarrab wazifa hai sir ke liye
Agar kisi ko aadhe 1/2 sir ka dard ho to 3 baar surah al ikhlas _قل هوالله احد_qul huwallaho aahad first aur last mein 3_3 baar durood sharif padhkar dam karen agar abhi dard baqi hai to 7 bar ya 11 bar isi tarah padhkar dam karlen insha allah 11 martaba padhne se pehle hi aapka dard khatam hojayega yeh wird sir ke dard ka behtreen aur mujarrab ilaj hai

Har Qisam Ke Dard Ka Ilaj Aise Karen

Agar kisi ke sir mein bahut shiddat ka dard ho raha ho ya badan ke kisi bhi hisse mein dard hota ho to yeh small word likh kar dekhen kaise chutkiyun mein dard e sir aur dard e badan bhaagta hai agarche aapko yaqeen nahi ho raha hoga lekin yeh mera khud ka tajurba shudah amal hai
Tariqah e istemal_sidhe haath ki shahadat ki ungli se jiss jagah bhi dard ho raha ho uss jagah par 1 baar durood or bismillah shrif padhkar yeh word jumla likhen

[ ليعذبهم_ लियुअज जिबाहुम_   Liyuaz zibahum]

Pehle 3 baar likh kar mariz se puchhen ki dard khatam huaa ya nahi nahi huaa to fir se 3 baar warna fir se 3 baar likhen aur iski 1 khaas wajah yeh hai ki jaise jaise likhte jao dard bhi harkat karta hai kabhi yahan wahan magar aap jab tak isi tarah se 3-3- martaba likhte rahen insha allah dard bilkul khatam hojayega fori tor par ab agar kisi ka dard sahi hota hi nahi hai to iske bajaye achhe  hakeem ya doctors se milne mein hi bhalai hai bahut kamyab amal hai yeh har tarah ke dard ke liye mujarrab shudah bhi

Sar Ke Dard Ka Gharelu Ilaj Kaise Kare?

Apni zabaan par 1 chutki Namak rakh kar 10 se 12 minat tak rakhe rahe fir 1 gilaas pani pilen Kitna hi sakht se sakht dard ho foran door hoga WARNING high blood pressur ke mariz ko namak nuksan deta hai fir bhi kuchh istemal kar sakte hain

1 cup pani mein 1 spoon haldi-turmeric-
daalkar josh dekar pine ya uski bhaap lene se bhi sir ka dard theek hojata hai & sabji mein daily haldi ko use karne se insha allah sartaan سرطان Cencer se bhi mehfooz rahenge so every day continue use turmeric insha allah Will protect from cancer.

Quwate Hafiza Aur Dard e Sar Ke Liye Lajawab Nuskha


Daily raat ko 7 dane Badam 21 dane kishmish ko pani mein bhigaden aur yahi dono subah nashte se pehle achhi tarah peeskar doodh ke istemal kar len insha allah sar ka dard khatam & dimag tezz hoga bahit kamyab nuskha hai trust me then use itDesi ghee me tali hui taza garma garam jalebiyan suraj nikalne se pehle khalen dard e sar mein bahut aaram ayega

Opnion:

khaas mashvara yeh hai ki agar in tamam nuskhun se bhi aapke sar ka dard kam nahi hota hai to aap kisi special Eye Doctor aankhun ke mahir tabeeb se chekup karwaen aur nazar ki kamzori ho to chashma lagane se sar ka dard bilkul theek hojayega Or isse bhi fayda na ho to kisi dimag ke mahir doctors se jarur milen ab aapko susti karna mehnga pad sakta hai

Source : Health2hindi

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm