Islamic Blog

Ummul Momineen Syeda Aisha Siddiqua raziallahu anha ne farmaaya:

Main ek raat Huzur Akram Sallallahu alaihi wa sallam ko na paai. Main nikli aur maine dekha ke aap Baqee mein tashreef farma hain.

Huzure Akram Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaaya:

Kya tumhein andesha hua ke Allah aur uske Rasool tumhare saath zyadati kareinge?

Maine arz kiya:

Ya Rasoolullah Sallallahu alaihi wa sallam!

Maine khiyaal kiya ke aap kisi aur zauja mutahhira ke paas tashreef le gae.

Huzur Sallallahu alaihi wa sallam ne farmaaya:

Allah Ta’ala Shab e Baraat ko aasmaane dunya par nuzool e ijlaal farmaata hai aur Bani Kalb ki bakriyon ke baalon ki tedaad se zyada logon ki maghfirat farmaata hai.

(Jame’ Tirmidhi, Hadith No. 744; Sunan Ibn Majah, Hadith No. 1379; Musnad Imam Ahmad, Hadith No. 24825; Shu’abul Imaan, Hadith No. 3666; Kanz Ul‘Ummaal, Hadith No. 35184; Tafseer Durre Manthoor, Surah Dukhan:01; At Targheeb Wat Tarheeb, Vol. 2, Pg. No. 119; Al Ghunya Li Talibi Tareeqil Haqqi, Vol. 1, Pg No: 191)

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm