Islamic Blog

HADITH
————-
HAZRAT ABU HURAIRA RADI ALLAHU TA`ALA ANHU se rawayat hai ke NABI KAREEM SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM ne farmaya:Jisne imaan ke sath aur ajr-o-sawaab ki niyat se RAMZANUL MUBARAK ke roze rakkhe uske agle-pichle tamam gunah muaf kar diye jate hai .
(BUKHARI wa MUSLIM shareef )
MASLA
———-
Makkhi ya dhua ya gard halaq me jane se roza nahi tut ta lekin agar qasdan khud dhua pahuchaya to roza tut jayega jabki rozdaar hona yaad ho Maslan dhuni,agarbatti ,lobaan wagairah sulgayi aur use muh ke qareeb karke dhue ko naak se khicha to roza jata raha.
MASLA
———-
Makkhi halaq me chali gyi to roza na tuta aur agar qasdan nigli to roza tut gya.
MASLA
———-
Daath se khoon nikal kar halaq tak pahucha magar halaq se niche na utra to roza na tuta.
MASLA
———-
Bhool se khana kha raha tha yaad ate hi faoran niwala thuk diya to roza na gya aur nigal liya to roza jata raha .
(QANOON-A-SHARYAT PAGE NO 182-183)

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)