Islamic Blog

HADITH
———–
HAZRAT ABU HURAIRA RADI ALLAHU TA`ALA ANHU ne kaha ke RASOOL ALLAH SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM ne farmaya ke jo shaks sacche dil se aur sahih aqide ke sath RAMZAAN me qayam kare yani TARAVIH padhe to uske agle gunah baksh diye jate hai.
(MUSLIM SHAREEF )
MASLA
———-
TARAVIH mard wa aurat sabke liye bil ijma yani sabke nazdeek SUNNATE MUAKKIDA hai iska tark jayez nahi
MASLA
———-
Iska waqt isha ke farzo ke baad se tulu-A- fajr tak hai wa vitr se paihle bhi ho sakti hai aur baad me bhi to agar kuch rakate iski baqi raih gyi hai ke imam vitr ko khade ho gye to imam ke sath vitr padh len fir baqi ada Karen jabki farz jamat se padhe ho aur ye afzal hai ,aur agar taravih puri karke vitr tanha padhe to bhi jayez hai aur agar baad me maloom hua ke namaze isha bagair taharat padhi thi aur taravih wa vitr taharat ke sath to isha wa taravih fir padhe vitr ho gya.
MASLA
———-
TARAVI me ek baar QURAAN MAJEED mukammal karna SUNNATE MUAKKIDA hai aur 2 martaba fazilat aur 3 martaba afzal logo ki susti ki wajah se QURAAN SHAREEF mukammal karne ko tark na Karen.
(BAHARE SHARYAT HISSA 4 PAGE NO 28-29)

Aafreen Seikh is an Software Engineering graduate from India,Kolkata i am professional blogger loves creating and writing blogs about islam.
Aafreen Seikh
Latest posts by Aafreen Seikh (see all)