Islamic Blog

MASLA
======
Aaj kal aksar riwaaj ho gya hai ke HAFIZ ko ujrat dekar TARAVIH padhwate hai ye na jayz hai aur dene wala aur lene wala dono gunahgaar hai .ujrat sirf yahi nahi ke paihle se muqarar karle ke ye lenge ya ye denge balki agar maloom hai ke yaha kuch milta hai agarche usse taye na hua to ye bhi na jayez hai . kyuki jo cheez mashoor hai wo shart ki tarah hai. ha agar kaih de ke kuch nahi dunga ya nahi lunga fir padhe aur HAFIZ ki khidmat kare to isme harj nahi kyuki sarih dalaalat per faoqiyat rakhta hai yani khulllamkhulla kaih dena ishare se badh kar matlab ye hai ke jab saaf-saaf kaih diya gya to ab wo hukm nahi.

MASLA
======
Nabalig ke piche balig ki TARAVIH nahi hogi yahi sahi hai.

MASLA
======
RAMDAAN SHAREEF me VITR Jamat ke sath padhna afzal hai khuwaah usi IMAM ke piche jiske piche ISHA wa TARAVIH padhi ya dusre ke piche.
(BAHARE-SHARYAT HISSA 4 PAGE NO 31)

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm