Islamic Blog

MASLA
======
Ek masla mai dubara bataye de raha hu kyuki bahut si baihne pucha karti hai ke kiya aorto ke liye bhi TARAVIH zaruri hai to.. TARAVIH jis tarah mardo ke liye SUNNATE MUAKKIDA hai usi tarah aurto ke liye bhi SUNNATE MUAKKIDA hai iska chorna jayez nahi.
(BAHAR-A-SHARYAT-QANOON-A-SHARYAT.)
MASLA
======
Shabeena ki ek raat ki TARAVIH me pura QURAAN PAAK padha jata hai jis tarah aaj kal riwaaj hai ke koi baitha bate kar raha hai ,kuch log chaye pine me mashgool hai,kuch log MASJID se bahar huqqanoshi kar rahe hai aur jab jee me aya ek adha RAKAT me shamil bhi hue ye najayz hai.
FAYEDA
========
Humare IMAM-A-AZAM RADI ALLAHU TA`ALA ANHU RAMDAAN shareef me 61 muqammal kiya karte the 30 din me aur 30 raat me aur 1 TARAVIH me aur 45 baras ISHA ke wazu se NAMAZ-A-FAJR padhi.
(BAHAR-A-SHARYAT HISSA 4 PAGE NUMBER 32)
MASLA
======
Jisne ISHA ki farz NAMAZ na padhi wo na TARAVIH padh sakta hai na VITR jab tak FARZ na ada kar le.
MASLA
======
Jiski kuch Rakate TARAVIH ki baqi raih gyi ke IMAM VITR ke liye khade ho gye to IMAM ke sath VITR padh le fir baqi ada kare jabki FARZ JAMAT se padh chukka ho tab aur ye afzal hai aur agar TARAVIH puri karke VITR tanha padhe to bhi jayez hai.
(QANOON-A-SHARYAT PAGE NO 128)

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm