Islamic Blog

HADITH
=======
ABU DAOOD ne hasan basri se aur TABRANI wa BAIHQI ne SAHAB-A-KIRAAMA RADI ALLAHU TA`ALA ANHUM ki ek jaamat se riwayat ki ke HUZOOR SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM farmate hai ke zakaat dekar apne maalo ko mazboot kilo me kar lo aur apne bimaro ka ilaaj sadke se karo aur bala nazil hone per bal wa tazarra (girya wa zari) se ista`anat karo yani madat mago.
4.AZAAD HONA GULAAM PER ZAKAAT WAJIB NAHI
==========================================
Agarche maazoon ho (maazoon wo gulaam ke jiske maalik ne tijarat ki ijazat di ho ya mukatib)(wo gulaam jisse maalik ne ye kaih diya ke tum agar itni rakam ya maal de do to azaad ho jaoge) ya umme walad (wo bandi jisse maalik ki aolaad ho ) ya mustasa`a yani sajhe ka gulaam jisko ek shareek ne azaad kar diya ho chuki wo maaldaar nahi hai is wajah se baki shareeko ke hisse kama kar pure karne ka use hukm diya gya .
MASLA
======
Mazoon gulaam ne jo kuch kamaya hai uski zakaat na usper hai na uske maalik per ha jab maalik ko de diya to ab un barso ki bhi maalik ada kare jabki gulaame mazoon karz me ghira hua na ho warna uski kamayi per mutlaqan zakaat wajib nahi na maalik ke kabza karne ke paihle na baad .
MASLA
======
Mukatib ne jo kuch kamaya uski zakaat wajib nahi na usper na uske maalik per jab maalik ko de de aur saal guzar jaye ab ,ba-sharayt-a-zakaat maalik per wajib hogi aur gujishta barso yani guzre hue barso ki wajib nahi .
5.MAAL BA QADRE NISAAB USKI MILK ME HONA
========================================
Agar nisaab se kam hai to zakaat wajib na hue .
(BAHARE-A-SHARYAT HISSA 5 SAFA 11-12)
Zakat Wajib hone ki sabhi sharte padhne k liye pichle part padh le aur agle parts ka intezaar kare. Mukammal ilm hasil kare.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm