Islamic Blog

HADITH
=======
IMAM AHMAD ,ANAS RADI ALLAHU TA`ALA ANHU se riwayat ki ke NABI KAREEM SALLALLAHU TA`ALA ALAIHI WA SALLAM farmate hai apne maal ki zakaat nikaal ke paak karne wali hai tujhe paak kar degi aur rishtedaaro se sulook kar aur miskeen aur padosi aur sail(magne wale) ka haq paihchaan.
ZAKAT WAJIB HONE KI SHARTE JO NUMBER WAAR PESH KAR RAHA HU
===========================================================

1.MUSALMAAN HONA
Kafir per ZAKAAT wajib nahi yani agar koi kafir MUSALMAAN hua to use ye hukm nahi diya jayega ke zamana-a-kufr ki ZAKAAT ada kare.

MASLA
======
Kafir darul harb me musalmaan hua aur wahi chand baras tak iqamat ki fir darul ISLAAM me aya agar usko maloom tha ke maaldar MUSALMAAN per ZAKAT wajib hai to us zamane ki ZAKAT wajib hai warna nahi aur agar DARUL ISLAAM me MUSALMAAN hua aur chand saal ki ZAKAT na di to uski ZAKAT wajib hai agarche kaihta ho ke mujhe ZAKAT ki FARZIYAT ka ilm nahi kyuki DARUL ISLAAM me jahal na janna ujr nahi.
2.BULOOG(BALIG HONA)3AQL(AQLMAND HONA)
=======================================
Nabalig per ZAKAAT wajib nahi aur junoon (yani pagalpan) agar pure saal gher le to ZAKAT wajib nahi aur agar saal ke awwal akhir me ifafa hota hai agarche baqi zamana junoon me guzarta hai to WAJIB hai aur junoon agar asli ho yani junoon hi ki halat me balig hua to uska saal hosh ane se shuru hoga ,yuhi junoon agar aarizee hai yani kabhi pagal hota ho kabhi nahi magar pure saal ko gher liya to jab ifafa hoga us waqt se saal ki ibteda (shuruaat) hogi.chuki ZAKAT ke liye rakam,sona chandi ya maal per saal guzarna shart hota hai isliye ye dekhna zaruri hota hai ke maalik kis tareekh se hua.
(BAHAR-A-SHARYAT HISSA 5 SAFA 11)

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm