Islamic Blog

Afsos hai ki kuch muslim bhai beer ko sharab nahi samajhte. Aur naa-daani mein beer ko cold drink ki tarah pi lete hain. Lekin bhaiyo dhyan rakho ke beer bhi sharba hi hai. aur Islam mein sharab peena haram hai.
Sharab pina to alag baat hai, SHARAAB ka BanaNe Wale, BanwaNe Wale, PilaaNe Wale, Bechne Wale, Kharidne Wale ye sab bhi gunahgaar hain.
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya – HARGIZ SHARAB NA PEENA! ISLIYE KE SHARAB saari BURAIYON KI JAD HAI.
(MUSNAD-E-AHMAD : 21570)
Hazrat Muhammad (sallallau alyhiwasallam) ne farmaya
Sharaab Peena, Juan Khelna, aur Tabla Bajana Sakhat Gunah Hai
[Abu Daud]
Hazrat Muhammad (SallAllahu AlyhE Wasallam) Ne Farmaya:”Sharab buraiyon Ki Jad Hy, Jis Ny Sharab Pi, 40 Roz Uski Namaz Qabool Nahi Hogi. Wo Aadmi Jahliyat Ki Maut Marega Jisky Pait Mein Martay Waqt Sharab Hogi.”
(Tabrani,Awst. Sahihah: 1636)
Hazrate Ayesha (Razi Allahu Anha) farmati hai k ek Raat maine Huzoor Akram (sallallahu alaihi wasallam) ko na paya to Mai Talash ke lye Nikli, Aap (Sallallahu alaihi wasallam) JANNATUL BAQEE’ (MADINE KA QABRSTAN) me the, Aap (sallallahu alaihi wasallam) ne farmaya ke Mere paas JIBRAEEL alaihis salam Tashreef laye aur kaha ke Aaj NISF SHABAN ki Raat he, isme Allah Ta’ala itne Logo ko JAHANNAM se Nijaat dega jitne QABEELAE KALB ki bakriyo ke baal hai (ARAB K QABEELO ME IS QABEELE KI BAKRIYA SAB SE ZIADA THI) Magar Chand Bad-Naseeb Shaqso ki taraf is Raat bhi Nazre Inayat na hogi (matlab kuch logo ko Allah is raat mein bhi maaf nahi karega, wo kaun hain)
1) MUSHRIK
(jo Allah ko nahi maanta)
2) KEENA RAKHNE WALA
(apne bhai ke liye dil mein burai rakhne wala)
3) RISHTA TODNE WALA
Apne rishtedaaro se rishta tod lene wala
4) PAIJAMA/PANT TAKHNO SE NEECHE LATKANE WALA,
5) APNE Maa-Baap KA kehna na sunne wala
6) SHARAB PEENE WALA
(Ref.: BAIHAQI)
Allah humko sharab pine, pilane, banane, bechne ki burai se bachae, aameen.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm