Islamic Blog

Shaitan Ke Bare Me Bayan Tafseero me bayan hai ki shaitan jab ahle iman tha tab zameen ki koi jagah na chhodi jaha par usne sajda na kiya ho, aur woh sajda bhi kaisa 1000 baras ka. Magar lakho salo ki ibadat usne us ek lamhe me mitti miladi, uske liye musibat ho gai jab Nabi Aadam alaihissalam ki paidaesh huwi, tab hi se uske liye khatre ki ghanti bajni shuru huwi. sirf usne NABI ki azmat ko na jana, sirf ALLAH-ALLAH kehta raha magar NABI ko chhod diya tou hamesha ke liye nare jahannam ka haqdar ban gaya. yehi nahi **jab huzoor sallallahu alaihi wasallam ki paidaesh huwi tab us par aag ke gole barsaye gaye**. yani nabi ki paidaesh matlab shaitan ki taklif. [Bukhari sharif, Hadees No. 4921] tab hi tou Huzoor ki paidaesh par uske chelo ko bhi taklif hoti hai. ALLAH – ALLAH kehne se ALLAH naaa milein. ALLAH wale hai jho ALLAH se milad dete hai. aur aaj ke daur hum par NABI-MUHAMMAD MUSTAFA ki tazim lazim hai. isliye Allama Iqbal farmate hai. Muhammad ki Muhabbat Deen e Haq ki shart awwal hai. Gar isi mein ho khaami tou sabkuch na – mukammal hai. صلى الله تعالى عليه واله وسلم shaitan tou jannat me aur bahar nikala gaya magar yeh to pehle hi se bahar hai, kaise jayenge andar, bina ishq e rasool ke.

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm