Islamic Blog

Allah ka zikr (Tasbeeh) ke fayde:-

1. zikr shaitan ko bhagata hai aur usko kamzor karta hai
2. zikr kanre wale se Allah khush hota hai
3. Zikr Dil Se Fikar or Gham Ko Door Karta Hai
4. Zikr Badan Ko or Dil Ko taakat deta Hai
5. Zikr Chehra or Dil Ko roshan Karta Hai
6. Zikr karne wale ki rozi (income) badh jaati hai:-

(1) zikr mein sabse uncha to kalma-e-shahadat hi hai.
la-ilaha il-lal-lah muham-madur rasul-allah
iske padhne se imaan badhta hai.
(2) Subhan Allah, Alhamdulillah, Allahu Akbar ka zikr bhi bahut sawab wala hai.
(3) Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ki 2 bol zaban par bahut halke aur mizan (sawab) mein bahut bhaari hain.
(Subhan Allahi wabi hamdihi, Subhan allahil azim)
Ye farishto ki tasbeeh bhi hai.

Subhan Allah

mm
Latest posts by Færhæn Ahmæd (see all)