Islamic Blog

SAWAL : Aadam (Alaihissalam) ka Naam (AADAM) kyun huwa?
.
>>JAWAB : Aap ka Naam “Aadam” hone ki kayi Wajuhaat hai…
(1) Hazrat Abdullah Bin Abbas (RadiAllahu anh) Farmate hai ke Aap ka Naam Adam is Munasibat se hai ke (Gandumi) Rang ki Zameen se wo Mitti liGayi thi,jisse Aapke Jism (Putla) ki Khameer bani.
(2) Hazrat So’labi Farmate hain ke chunke (Ibrani Zaban) me Mitti ko Aadam kahte hai,is Munasibat se Aapka Naam Aadam Rakh diya gaya.{Al Ittiqan fi Uloomul Quran-Jild-02-Safa-No-175}
(3) Hakimul Ummat Mufti Ahmad yar khan Naimi (alaihirrahma) Farmate hai ke Aadam,Ya to (Adeem) “اديم” se bana hai jiske Ma’ane hai (ZAHIRI ZAMEEN) chunke Aap ka Jism Paak Zahiri Zameen ki Mukhtalif Mittiyo’N se Bana tha,isliye aap ka Naam Aadam huwa.{Tafseer Naimi-Jild-01-Safa-No-289}
.
SAWAL : Hazrat Aadam (Alaihissalam) ki Takhleeq ke liye kitni Jagho’n se kitni Miqdar me Mitti li gayee?
.
>>JAWAB :Aap ke Jism (Putla) ko Tayyar karne ke liye,Hazrat Izrail (Alaihissalam) ne Zameen ki 40 Jagho se Haat bhar kar Mukhtalif Atraf se Mitti li,aur usme Khusoosiyat Makka aur Taif ki Zameen ko Hasil hai.
{Ma’arij-Un-Nubuwwah-Jild-01-Safa-No-23}
.
SAWAL : Hazrat Aadam (Alaihissalam) ke Jism (Putla) ki Khameer me Kaunsa Paani Barsa?
.
>>JAWAB : Aap ke Jism (Putla) Mubarak par 40 dino tak,BaHukm Ilahi (Darya-e Mala Mal) se jo Arsh A’zam” ke neeche hai,jiska dusra Naam (Baihrul Ahzaan) hai… Barish hoti rahi, jisse wo Mitti Gaare ki Shakl Ikhtiyar kar gayee…
Ek Dusri Riwayat ke Mutabiq 70,000 Farishto ne BaHukm Rabbul Aalameen (Chashma-e Raheel-o Sal Sabeel-o Kausar) ke Pani se us Mitti ko Tayyar kiya.
{Ma’arij-Un-Nubuwwah-Jild-01-Safa-No-25}
.
SAWAL : Hazrat Aadam (alaihissalam) ke Jism (Putle) me Khushi ka Paani kitna Barsa aur Gam ka kitna?
.
>>JAWAB: Aap ki (Khaak) Paak par 40 dino Tak Barish hti rahi,un 40 Dino me se 39 Din (Ranjo Gam) ka Pani Barsa… aur 01 Din (Khushi wa Masarrat) ka Pani barsa… isi liye Insan ko Ranjo Gam Ziyadah hote hai,aur Khushi kam.
{Tafseer Naimi-Jild-01-Safa-No-285}
.
SAWAL : Hazrat Adam (alaihissalam) ke Jism ka kaunsa hissa (Azu) kis Jagah ki Mitti se banaya gaya?
.
>> JAWAB : Hazrat Abdullah bin Abbas (RadiAllahu anh) Riwayat farmate hain ke Maine Sayede Alam (sallallahu alaihi wasallam) se pocha :

Ya Rasoolallah!
Allah pak ne Hazrat Aadam (SafiUllah) ko kis tarah paida Farmaya ke unki Aulad ek dusre hubahu ham shakl nahi milte julte??
Sarakar (sallallahu alaihi wasallam) ne Farmaya : Ay Abdullah!
Allah Tabarak wa Ta’ala ne Adam (alaihissalam) ke chihre Mubarak ko Makkah Shareef ki Mitti se banaya… Sar Mubarak Baitul Muqaddas ki khak se banaya… Muzdagaan aur Chashm karam ko duniya ki khak se banaya… Qadam Mubarak ko Hindustan ki Zameen se banaya… A’aza ko Jazeerah Sarandeep ki Mitti se banaya… Kamar Mubarak ko Mash had ki Khak se banaya.
Ay Abdullah!
Agar Adam (alaihissalam) ki khak paak ek hi jagah se lee jaati to aap ki Aulado me se har ek Dusre se Pahchana Naa jaata,sab ek hi shakl surat ke hote.
{Malfuzate Khuwaja Nizamuddin Auliya-Safa-No-145}
.
SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) ki Surat Jameela kaha banayi gayi?
.
>>JAWAB : Allah pak ne Aap ki Surat ki Takhliq (Makkah) aur (Taif) ke Darmiyan WADI-E NO’MAN me (Arfat) Pahad se Mutassil farmayi.
{Al Bidaya-Jild-01-Safa-No-86}
.
SAWAL : Hazrat Adam (alaihissalam) ka Putla Tayyar hone ke kitne Saal Bad usme Jaan dali gayee?
.
>>JAWAB: Ek Qaul ke Mutabiq 120 Saal hai,Hazrat Ibn-e Abbas (RadiAllahu anh) farmate hai ke Hazrat Adam (alaihissalam) ka Putla 40 Sal tak Chamakti Mitti ki Shakl me raha… fir 40 saal tak siyaah Mitti ki Shakl me raha… fir 40 saal tak Khanakti Mitti ki Shakl me raha… is tarah se 120 saal ka Arsa guzar jane ke baad Allah pak ne usme Jaan dali.
{hashiya-06-Jalaleen-Safa-No-483}
.
SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) ko sabse pahle kis Farishte ne Sajda kiya?
.
JAWAB : Sabse pahle,Sidra Nasheen Hazrat Jibreel-e Amin ne Sajdah kiya… fir Hazrat Mikai ne,fir Hazrat Israfeel ne,Fir Hazrat ne,Fir Hazrat Izrail ne,Fir sare Farishto ne Sajdah kiya… Ta’at me sabqat karne ki wajah se Roohul Amin ko sabse bada darja Ata Farmaya gaya,yani (KHIDMAT-E AMBIYA)
{Tafaseer Naimi-Jild-01-Safa-No-309}

Tafseer Naimi me Tafseer Ruhul Bayan ke Hawale se Mastoor wa Mazkoor hai ke Ba’z Hazraat Farmate hai ke sabse pahle Sajdah,Hazrat Israfeel (Alaihissalam) ne kiya,is sabab se unki Peshani Mubarak par Poora Quran likh diya gaya.
{Tafseer Naimi-Jild-01-Safa-No-309}
.
SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) ko kiya Jaane wala Sajda kitni der ka tha?
.
>>JAWAB : Is Mutallaiq se,Aimma Tafseer Ikhtilaf rakhte hai ke…
(1) ye Sajda Roze Juma waqt-e Zawal se (Asar) tak kiya gaya.
(2) Farishte 100 baras tak Sajde me gire rahe.
(3) 500 baras tak Sajde me gire rahe.
In Aqwal mukhtalifa ko is tarah jama kiya jaa sakta hai ke Awwalan Malaika ne Hazrat Adam ko Sajda kiya,jiska Iblees ne Inkar kiya… ye Sajdah thodi der raha,fir Farishto ne Sar utha kar dekha ke Shaitan Naa Farman,Adam (alaihissalam) ki taraf peeth fere khada hai,tab unho ne dusra Sajda kiya,is sajde ki taufeeq Rafiq ke shukriya me,ye Sajda Rabbul Aalameen ke liye tha,aur Sajda shukr tha.

Fir jab Farishto ne dusre Sajde se Sar uthaya to dekha ke Shaitan Mardood ki surat pahle jaisi haseen-o Jameel na rahi,balke chihra Badar ke jaisa,aur Jism Khinzeer (SUWAR) ke Jaisa hogaya… tab Farishto ne Haibat Ilahi se ek aur Sajdah kiya. Ye teeno Sajde Adam (alaihissalam) hi ki taraf the,magar teeno alag alag Qism ke,aur unki Muddat bhi alag alag thi.
{Tafseer Naimi-Jild-01-Safa-No-310}
.
SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) ki Paidaish kis Din aur kis Jagah hui?
.
>>JAWAB : Aap Juma ke Din us Jagah Wajud me aaye jaha aaj Khana-e Ka’aba Shareef hai.
{Tafseer Naimi-Jild-01-Safa-No-309}
.
SAWAL : Hazrat Adam (alaihissalam) ko kis Shaan-o Shaukat ke sath Jannat me Pahunchaya gaya,aur kitne Farishte aap ke Hamrah the?
.
>>JAWAB : Aap ko 70000 Jannati Libas pahnaye gaye… ek Taaj jo Yaqoot ka tha,aap ke sar par rakha gaya… kamar ko Heere Jawahar se Sajaya gaya… ek Takht Aali jo bada haseeno Jameel tha,uspe aap ko bitha kar Bage Jannat pahunchaya gaya… aap ke sath Farishte 700000 Dayen, aur 700000 Bayen, aur 700000 Agae ,aur 700000 peechhe the… jo aap ki Shan Azmat aur Salam pesh karrahe the.
{Ma’arij-Un-Nubuwwah-Safa-No-39}
.
SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) ko,Jannat me kis Darakht (Ped) ka Phal Khane se Mana Framaya Gaya tha?
.
>>JAWAB : Is mutalliq se Mukhtalif Riwayaat hain…
(1) Genhu ka Darakht tha.
(2) Wo Injeer ka Darakht tha.
(3) Wo Darakht Angoor tha.
(4) Koi Aisa Darakht tha jiske khane se (Rafa’a Hajat) ki Zarurat hoti hai,aur Jannat un Gandagiyo se pak hai.
(5) Ya wo Khajoor ka ped tha…
Lekin pahla Qaul yani Genhu ke ped ko Tarjeeh Hasil hai.
(Al Bidaya Wannihaya-Jild-01-Safa-No-74}
.
SAWAL : Hazrat Adam wa Hazrat Hawwa,me se pahle kisne Shajar Mamnoo (ped) ka Phal khaya,aur kitna?
.
>>JAWAB : Hazrat Hawwa (RadiAllahu anha) ne “Shajar Mamnoo” ke 7 Khoshe tode the,Pahle ek Khud ne khaya,panch Adam (alaihissalam) ko diye,aur ek Mahfooz Rakha.
{Ma’arij-Un-Nubuwwah-Safa-No-43} SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) ne jo ped ka Phal khaya tha,wo aap ke Shikam (pet) me kitne dino tak raha?
.
>>JAWAB : Hazrat Ali (RadiAllahu anh) Farmate hain :
Ek Roz Bargahe Risalat (Sallallahu alaihi wasallam) me Chand Yahoodi Hazir aay aur poochha : Ya Rasoolallah!
Hamne Tauret me likha dekha hai ke aap ki Ummat par 30 Roze Farz kiye gaye hain! Aap (Sallallahu alaihi wasallam) ne Farmaya : ye theek hai ke Hazrat Adam (Alaihissalam) ne Jannat” me jo Dana Gandum Sheeri’n khaya tha,wo aap ke shikam (pet) me 30 Roz tak raha,Isi Sabab se 30 Roze Farz kiye gaye.
{Al Malfoozat Nizamuddin Auliya-Safa-No-44}
.
SAWAL : Hazrat Adam (alaihissalam) ke Jism se Jannati Libas utar jaane ke baad,aap ne kis Darakht (ped) ke kitne Patto se apne Jism ko chhupya tha?
.
>>JAWAB : Shajar Mamnoo” ka Daana khana tha ke aap ke Jism se Jannati Libas Juda hogaye…
Aap Rone lage aur apne Badan ko chhupane ki Fikr karne lage,jis Darakht (ped) ki Janib jaate wo ped aap se dur hote… bil aakhir (Injeer) ke 4 patto se aapne apne Jism ko chhupya… Allah Rabbul Aalameen ka Hukm huwa ke ab Jannat se bahar Tashreef le jayen…
Hazrat Adam (Alaihissalam) Deeda namnak,Seena Gamnak liye Hazrat Hawwa (RadiAllahu anhuma) ka Haath thame Bahar Tashreef laye.
Ba,z ne ye bhi kaha hai ke aap ne (ood) ke Patto se apne Jism ko chhupya tha.
{Ma’arij Un Nubuwwah-Jild-01-Safa-44}
.
SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) Jannat se Duniya me kis jagah utare gaye?
.
JAWAB : Hazrat Adam (Alaihissalam) HINDUSTAN me Shahar (Sarandeep) ke us pahad par utare gaye,jisko “Nood” kahte hain.
Hazrat Hawwa ko sahile Darya-e Hind par layeen gayeen… Mor ko Marjul Hind me,Shaitan” ko Nisan me jo ke Basra se kuchh Fasle par hai,ya jaha ab Yajooj wa Majooj ki Deewar Qaim hai,aur Sanp ko Bahistan,ya fir Asfahan me phenka gaya.
{Tafseer Naimi-Jild01-Safa-No-330}
.
SAWAL : Hazrat Adam wa Hazrat Hawwa”Jannat me kitni Muddat tak Rahe?
.
JAWAB : Is Mutallaiq se kayee Aqwal hai…
(1) Aap dono ne Jannat me Duniya ke 500 Saal ke Barabar Qiyam kiya.
(2) Aap dono ne Jannat me ek Sa’at rahe,Jannat ki ye ek Sa’at Duniya ke 130 Sal ke barabar hai.
(3) Ek Riwayat ke mutabiq,Jannat me aap dono 100 Saal tak rahe.
{Ibn-e Kaseer-Parah-01-Ruku-04}
.
SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) Jannat se apne sath kya kya Cheez Laye the?
.
>>JAWAB : Aap Alaihissalam apne sath kuch Mukhtalif qism ki cheezen laye the…
(1) Hajr-e Aswad,jo khana-e Ka’ab me Laga huwa hai.
(2) Asa-e Musvi,yani wo Danda Jo Hazrat Musa (alaihissalam) apne sath Rakhte the,aur aap usse Tarah tarah ke Mo’jize Zahir Farmate the.
(3) Hathoda.
(4) Sandasi.
(5) Eiran.
(6) Kuchh Sona Chandi.
(7) Mukhtalif Qism ke Beej.
(8) 3-Qism ke Phal,ek wo jo poore khaye jaate hai,dusre wo jinka Upri Hissa khaya jata hai,aur gutli phenk di jati hai,jaise Chuwara,wagairah.. teesre wo jinka upri hissa phenk diya jaata hai,aur andar ka hissa khaya jata hai.
(9) Jannati Darakhto ki Pattiya,ya Phoolo ki Pankhiya.
(10) Belcha.
(11) Kudal.
(12) Kandar, ya sanubar.
(13) Ood,(Khushbu dar lakdi)
(14) Angashtari Sulemani (Angooti)
{Savi-Jild-01-Safa-No-30}
.
SAWAL : Hazrat Adam wa Hazrat Hawwa” ke Darmiyan Duniya me kitne Saal Tak ek dusre ke beech Duri bani rahi?
.
>>JAWAB : 300 Baras tak.
Ek Riwayat ke Mutabiq 200 saal,aur ek Qaul ke Mutabiq 100 saal tak Dono Gurbat-o Kurbat me Mubtila rahe.
{Ma’arij Un Nubuwwah-Jild-02-Safa-No-29}
.
SAWAL : Hazrat Adam wa Hazrat Hawwa ki Mulaqat kis Tareekh ko aur kis jagah hui?
.
>>JAWAB : Allah pak ne Hazrat Adam (alaihissalam) ki Tauba Qubool hone ke baad aap dono ko (Zil hajj) ko milaya.. Hazrat Adam ne Hazrat Hawwa ko Pahchana,isliye us Roz Masarrat Afroz”ka naam (Arfa) rakha gaya.. aur jaha Mulaqat hui us jagah ka naam (Arfaat) Mash hur huwa.
{Tafseer Naimi-Jild-02-Safa-297}

SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) ka Qad kitna Lamba tha,aur Jism Mubarak ki Chadhayee kitni thi?
.
>>JAWAB : Aap ke Sar, Qad, Sar, Mad, ki Darazi 60 Hath thi,aap jab Duniya me aaye to aap Bahut Buland Qamat aur Taweel Jism ke the,ke aap ke Qadam Mubarak Zameen par the,aur Sar Aqdas Aasman ko chhuta tha… fir Allah tabarak wa ta’ala ne aap ke Qad par Mad ko chhota kardiya,yaha takke 60 hath rahgaya,aur aap ke jism Mubarak ki chaudhayee 7 hath thi.
{Tafseer Naimi-Jild-02-Safa-297}
.
SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) Duniya me Tashreef laane ke baad,kitne dino tak Bhooke piyase rahe?
.
>>JAWAB : aap Duniya me 40 Roz tak bhooke piyase rahe… ek Riwayat me hai ke aap 40 Saal tak Bhooke piyase rahe.
{Ma’arij un Nubuwwah-Safa-No-47}
.
SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) Paidal kitni bar khana-e Ka’aba shareef ki Ziyarat ko gaye?
.
>>JAWAB : Aap Koh-e (Sarandeep) India se 40 baar khana-e Ka’aba ki Ziyarat ko gaye… Farisht-e Har jagah Qadam me aap ka Intizar karte the.
{Al Tareekh fil Kamil-Jild-01-Safa-No-16}
.
SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) jab Khana-e Ka’aba ki Ziyarat ko chalet to aap ke har qadam ka Fasla kitna hota tha?
.
>>JAWAB : Aap jab khana-e Ka’ab ki Ziyarat ko chalet to har Qadam ka Fasla 3 Roz Ke Masafat ke Barabar hota tha.
{Ma’arij un Nubuwwah-Safa-No-51}
.
SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) apni Khata par kitne Barso tak Rote rahe?
.
>>JAWAB : Aap 300 Saal tak is Qadar Rote rahe ke,Hazrat Jibreel Amin (Alaihissalam) ko bhi aap ke Rone par Rona aata,aur unhone Bargahe Ilahi me aap ki Sifarish wa Shafa’at ki… aur ye bhi Aksar Ahadees se sabit hai ke agar tamam Roye Zamaeen ke rone wale JAMA kiye jayen to (Girya-e Adam alaihissalam) Afzo’n tar ho…
Tafseer Alam Nashrah” me hai ke aap apni Khata par 200 Saal tak Rote rahe…
Ek Riwayat ke Mutabiq aap 180 Saal tak rote rahe,70 saal Tawakul Shajar par,70 saal apni khata par,aur 40 saal Qatl Habeel par rote rahe…
Aur ek riwayat me 370 saal hai.
{Al Bidaya Wannihaya-Safa-No-80}
.
SAWAL : Hazrat Hawwa (RadiAllahu anha) kitni baar Hamila huyeen aur kitne Bachche Paida huwe?
.
>>JAWAB : Is Mutalliq se kayi Aqwal hain…
(1) Ham sabki Maa Hazrat Hawwa (RadiAllahu anha) 20 bar Hamila huyeen,aur har Hamal me ek Ladka,Ladki ka joda paida hota tha. 20 ladke aur 20 ladkiya.kul 40 Bachche huwe.
(2) Hazrat Hawwa” ke har Hamal se 2 Bachche hote the,magar Hazrat Sees (Alaihissalam) ke,Rasoolallah (sallallahu alaihi wasallam) ke Ajdad me hai,aap tanha paida huwe,yani kul 39 bachche 20 ladke aur 19 Ladkiya.{Tafseer Alam Nashrah-Safa-No-78}
.
SAWAL : Hazrat Adam (alaihissalam) ko kitni Zaban-o ka Ilm tha,aur kitne Paesh-o me Maharat Hasil rakhte the?
.
>>JAWAB : Aap ko 700000 Zabano ka ILM tha,aur 1000 Pesho me Maharat Rakhte the,magar aap ne Zara’at wa Kasht ka pesha Ithtiyar farmaya.
{Tafseer Naimi-Jild-01-Safa-No-291}
SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) ne Duniya me sabse pahle kis cheez ka Libas pahna tha?
.
>>JAWAB : Aapne Duniya me sabse pahle jo libas zeb tan farmaya wo (Bhedh) ke Balo ka tha,jise aapne khud tayyar kiya tha,apne liye ek Jubba,aur Hazrat Hawwa ke liye ek Misl Qameez ke aur ek Odhni.
{Al Bidaya-Jild-01-Sfa –No-92}

SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) jab Jannat se tashreef laye to aap ke Jism ka Rang kaisa tha?
.
>>JAWAB : Aap Jannat se,Duniya me jab Tashreef laye to aap ke Jism ka rang (Siyah) Kaala tha.. Aap ki Tauba Qubool hone ke baad,Allah pak ka ye Hukm huwa ke (Chaand) ki 13vi,14vi,aur 15vi, ka Roza rakho,chunanche! Aap ne ye Roze rakhe aur har din aap ke Jism ka rang chmakta raha,aur apni Asl Rang par aata raha,aur 15ve Tareekh ko tamam Badan apne Asl Rang par aagaya.
{Tafseer Naimi-Jild-01-Safa-No-339}
.
SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) ki Zaban kaunsi thi?
.
>>JAWAB : Aap ki Zaban,Jannat me (Arbi) thi,jab Duniya me Tashreef laye to Arbi Zuban Salab karli gayee, ya fir Bhula di gayee… Tauba qubool hone se pahle aap (Siryani) Zaban me Guftugu Farmaya karte the,aur Tauba Qubool hone ke bad fir Arbi Zaban,Jannat Nishan ata hui.
{Tafseer Naimi-Jild-01-Safa-No-340}
.
SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) ne apni Umr (AGE) se,kisko umr Ata farmayi thi,aur kitni?
.
>>JAWAB : Aap ki UMR Shareef se 40 Saal Hazrat Dawud (Alaihissalam) ko Ata kardiye gaye the,fir aap ye baat Bhol gaye the,isi liye Insano me Sahu wa Nisyan (Bhoolne) ki Bimari paida hogayee…
Iska Tafseeli waqiya yun hai.>>jab Allah pak ne Hazrat Adam ki Pusht Mubarak se Tamam Arwaah (Roohe’n) Nikaali,aur apni Rabubiyat ka Iqrar liya,to Bani Adam ke Us Ijtima me Hazrat Adam ne ek Khub Taro Taza aur Noorani dekh kar poochha: Khudaya!inka Naam kiya hai? Allah paak ne Jawab farmaya: “Dawud” aap ne arz ki inki Umr kitni hai? Allah ne farmaya : 60 Saal! Aap ne arz ki: Khudaya! Inki Umr Badha de? Farmaya: Nahi… haa agar tum apni Umr se kuch dena chaho to de sakte ho… aap ne arz ki Khudaya! Meri umr kitni hai? Allah pak ne farmaya : 1000 Saal!
Aap ne arz ki: khuda wanda: meri Umr se 40 saal dediye jayen… chunche! Aap ki umr se 40 Saal Hazrat Dawud ko dediye gay,aur Len den ko Zabt Tahreer me laya gaya… jab Hazrat Adam ki Umr 960 Saal huyee to,Hazrat Malkal Maut (Maut ke Farishte) Rooh Qabz karne aaye to Hazrat Adam goya huwe.. Khuda Wanda! Meri Umr me se abhi 40 Saal Baqi hai! Allah pak ne Farmaya : wo to tumne apne bete Dawud” ko de chuke ho! Fir jisme wo len den Mahrar tha, aap ko dikhaya gaya
{Ibn-e Kaseer-Parah-03-Safa-No-07}
.
SAWAL : Hazrat Adam (alaihissalam) ke Intiqal ke Waqt Insano ki Ta’daad kitni thi?
.
>>JAWAB : Aap ne jab Is Duniya se Intiqal Farma kar,Jawar-e Rahmat Ilahi” me Nuzool kiya to us Waqt aap ki Aulad ki Ta’daad 100000 thi.{Tafseer Naimi-Jild-04-Safa-No-416}

Ek Riwayat ke Mutabiq aap ke Wisal-e Haq ke Waqt aap ki Alaulad ki Ta’daad 700000 tak pahunch chuki thi.
{Ma’arij un Nubuwwah-Jild-01-Safa-No-61}
.
SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) ko Gusl Kisne Diya tha?
.
>>JAWAB : Hazrat Jibreel (Alaihissalam) Jannat se (Beri) ke ped ke kuchh patte,aur Markab Khushbu apne sath laye,aur Khud” hi ne,Hazrat Adam (alaihissalam) ko Nahlaya (Gusl) diya,aur Khushbu Mali.
{Tafseer Naimi-Jild-01-Safa-No-332}
.
SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) ki Tajzeez-o Takfeen” kisne ki, “KAFAN” kaha ka tha,aur kitne Kapdo ka tha?
.
>>JAWAB : Aap ki Tajzeez-oTakfeen,Hazrat Jibreel Amin” ne ki,aur Kafan Jannat ka tha jo Jibreel (alsiahissalam) hi leke aaye the… aap ka Kafan 3 Kapdo ka tha.
{Tafseer Naimi-Safa-No-332}
.
SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) ki Namaz Janaza” kis jagah aur kisne padhayee… aur padhi Jane wali Takbeer-o ki Ta’daad kitni thi?
.
>>JAWAB : Tajzeez-o Takfeen” ke Baad aap ki (Na’ash) Mubarak ko “Farishte” khana- Ka’ab me laay,aur Hazrat Jibreel-e Amin (Alaihissalam) ki “Imamat” me Farishto ne Namaz-e Janaza Ada ki…. Namaz me padhi jane waali Takbeer-o ki Ta’daad 4 thi.
{Tafseer Naimi-Jild-01-Safa-No-332}
SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) ki Qabr Mubarak kaha hai?
.
JAWAB : Is Mutalliq se Aimma Tafseer”Ikhtilaf rakhte hai ke aap ki Qabr Mubarak kaha hai…
(1) Makkah shareef se 3 Meel Fasle par,Maqm-e Mina me jaha Haji log Qurbani karte hai,isi Jagah par Hazrat Ibraheem (Alaihissalam) ne Hazrat Ismail (Alaihissalam) ki Qurbani pesh ki thi… yahi “Masjid-e Khaif” se Mutsil aap ki Qabr Shareef hai. {Tafseer Naimi-Jild-01-Safa-No-332}
(2) Ma’arij un Nubuwwah” ke Mutallaiq se aap ki Qabr koh (Sarandeep) me hai.
(3) Al kamil Fil Tareekh-Jild-01 Safa-No” ke hisab se aap ki Qabr us Pahad me hai,jisme aap Jannat se utre the. Ba’z ne kaha hai ke aap ki Qabr Anwar Gare Jabal Abu Qatbis me hai,jise Garul Kubr” kahte hain… Ibn-e Jareer” kahte hai ke Hazrat Nooh (Alaihissalam) ne Toofan ke Mauqe par aap ke aur Hawwa (RadiAllahu anha) ke Taboot shareef ko “BAITUL MUQADDAS” me laakar Dafan farmaya… Allahu Aalam.
.
SAWAL : Hazrat Adam (Alaihissalam) ke Intiqal par “Makhlooq” kitne dino tak Roti rahi?
>>JAWAB : Jab aap ka Wisal huwa to 7 Dino tak Makhlooq Roti rahi,aur utne hi Din (Chaand,Suraj) Girhan me rahe.
{Al bidaya wannihaya-Jild-01-Safa-No-98}
.
Sawal:- Hazrat Hawwa (Radi Allahu Anha) Ki Paidais,(Takhleeq) Aadam (Alaihissalam) Ke Kitne Dino Baad Hui? Aur Kaha’n Hui?
Jawab:- Hazrat Adam (Alaihissalam) Ki Paidaish Ke Ek Hafte Baad Dusre “JUMA” Ko Hazrat Hawwa (RadiAllahu Anha) Zeenat-e Bakhsh Aalam Huyin.
Hazrat Umar Farooq Wa Digar As’haab (RadiAllahu Anhum) Ne Riwayat Farmayi Hai Ke,Farishto’n Hazrat Adam (Alaihissalam) Wa Hazrat Hawwa (RadiAllahu Anha) Ko Noori Libas Paihnaya,Unke Sar Par Taaj Rakha,Sone Ke Takht Aali Par Bithaya,Hazrat Hawwa (RadiAllahu Anha) Ko Mukhtalif Qism Ke Zewaro’n Se Sajaya,Aur Un Dono Ko Jannat Me Pahucha Diya Gaya…
Is Riwayat Se Maloom Huwa Ke Hazrat Hawwa (RadiAllahu Anha) Ki Paidaish Bhi Zameen Par Hui.
{Tafseer Naimi-Jild-01-Safa-No-318}
.
Sawal:- Hazrat Hawwa (RadiAllahu Anha) Ka Naam “Hawwa” Kyun Huwa?
Jawab:- Aap Ka Naam “Hawwa” Isliye Hai Ke Ye Lafz (Hayya حى) Se Bana Hai, Jiske Ma’ane Hai’n “Zindah”
Chunki Aap Zindah Insan Hazrat Adam (Alaihissalam) Se Paida Huyin,Is Munasibat Se Aap Ka Naam Hawwa Rakha Gaya… Ya Fir Aap Har Zindah Insan Ki Walidah (Maa) Hai’n Isliye Aap Ko Hawwa Kaha Gaya.
{Tafseer Naimi-Jild-01-Safa-No-313}
.
Sawal:- Hazrat Hawwa (Radi Allahu Anha) Ki Umr (Age) Kitne Saal Ki Hui? Aur Aap Ki Qabr Shareef Kaha’n Hai?

Jawab:- Aap Ki Umr (Age) 997 Saal Hui,Aur Aap Ki Qabr Mubarak (Jiddah-Saudi Arab) Me Hai.
{Tafseer Naimi-Jild-01-Safa-No.332}

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm