Islamic Blog

Qur’an :
2 Surah al-Baqarah, Aayat 196 :

وَأَتِمُّوا الْحَجَّ وَالْعُمْرَةَ لِلَّهِ

Aur Hajj aur Umrah (ke manaasik) ALLAH ke liye mukammal karo.

Hadeese Nabawi :
(1) Hazrate Abdullah ibne Abbas radi-Allahu ta’ala anhu se riwaAyat hai ki
Huzoor Sarware kainat Rasool-Allah sallallahu alaihi wasallam farmate hain ke
‘Ramazaan me Umrah karna mere saath Hajj karne ke barabar hai.’
(Abu Daawood)

(2) Ek Umrah se umrah tak un gunaho ka kaffara hai jo darmiyan me hue.
(Ibne Maajah)

*********
Ehram baandhkar Niyyat ke saath Ka’abatullah ka Tawaaf karna aur phir Kohe Safa aur marwa ke darmiyan Saee karna aur phir Halaq ya takseer karna, is ko ‘Umrah’ kehte hain.

*********
Umrah ka Naqsha :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾

Umrah me 4 Arkaan hote hain :

(1) Ehraam ke saath Niyyat aur Talbiyah [Labbayk] (Shart)

(2) Ka’abatullah ka tawaaf (Farz)

(3) Safa-Marwa ke darmiyan Saee (Waajib)

(4) Tahleeq ya Takseer (Ya’ni Sar mundwana ya Baal katarwana) (Waajib).

*********
Umrah ke masaail :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
(1) Umrah karne wale ko Meeqat se ehraam baandhna zaroori hai.
Meeqat 5 hain :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
[1] Zul- Hulaifa – Madeena ki taraf se aane walo ke liye meeqat hai. Ise ‘Abyaare Ali’ bhi kehte hain. Ye Madeena se 7 km ki doori par hai.
[2] Al Juhfa – Ye Shaam (Syria) aur Misr (Egypt) ki taraf se aane walo ke liye meeqat hai.
[3] Zaate Irq – Ye Iraq aur Iran ki taraf se aane walo ke liye meeqat hai.
[4] Qarnul Manaazil – Ye Najd aur Khaleej (Gulf) ki taraf se aane walo ke liye meeqat hai. Ye jagah ‘Sail al kabeer’ se mashhoor hai.
[5] Yalamlam – Ye Hind ki taraf se aane walo ke liye meeqat hai.

Bagair ehram baandhe Meeqat se aage guzar gaye to jurmane me Dam (jaanwar ki qurbani) dena hoga aur Meeqat par wapas aakar ehram baandhna hoga.

(2) Makka shareef me qayaam ke dauran aap jitni baar chahe Nafl Umrah kar sakte hain.

Nafl Umrah ka Ehraam baandhne ke liye in 2 maqaamat me se kisi ek jahgah jaana padta hai.
[1] Masjide Aaisha – Jo Masjide Haraam se taqreeban 7.5 ki doori par ‘Taneem’ me hai.
[2] Masjide Juarrana – Jo Makka mukarrama se 25 km ki doori par hai.
Yaha se jo Umrah kiya jaata hai awam use ‘Bada Umrah’ kehte hain.

(3) Hudoode haram ke bahaar Meeqat tak ke ilaake me rehne wale ko ‘Hilli’ kehte hain. In logo ko Hajj ya Umrah ke ehraam apne maqaam se baandhna hoga.

Aur Makka me rehne wale agar Umrah karna chahe to unko bhi Masjide Aaisha jaakar Ehram baandhna hoga.

(4) Ehraam ki 2 rak’at nafl namaaz padhkar Umrah ki Niyyat karen.

Umrah ki Niyyat :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Allahumma inni ureedul umrata fayassirha- lee wa taqabbalha meenni wa a’inni alayha wa baarik-lee feeha nawaytul umrata wa ahramtu biha lillahi ta’ala.

Aye ALLAH, Main Umrah ka iraada karta hu ise tu mere liye aasan kar aur ise meri taraf se qubool farma au r ise ada karne me meri madad farma aur isko mere liye barkat wala bana. Maine Umrah ki Niyyat ki aur khas ALLAH ta’ala ke liye is ka ehram bandha.

Phir 3 martaba Talbiyah (Labbaik) padhen.
Mard thoda buland aawaz se aur aurate aahista se Talbiyah padhen.
Phir Durood shreef padhen aur Dua e khair karen.

Haiz ya Nifaas wali aurte bhi gusl kare aur ba-taharat ehram baandhe. Aisi islaami bahene ehram ki namaaz nahi padhengi. Lekin Umrah ki niyyat karna laazami hai.

(6) Ehram me kasrat se Labbaik padhte rahen aur Kalma, Zikr aur Duroodo Salaam padhte rahen.
Aur fuzool baato me ya kaamo me waqt zaaya na karen.

Masjide Haraam me pahunchkar Tawaaf ki niyyat karne ke baad Labbaik padhna band kar den.

(5) Nafl Umrah Zinda ya Marhoom kisi ke bhi naam se kiya ja sakta hai.

(6) Hajj ke dino me aur khas kar Ayyame Tashreeq ya’ni 9 Zil Hijja ki Fajr se 13 Zil Hijja ke Guroobe aaftab tak Umrah ka ehram baandhna mana hai.

***************
Aashiqane Mustafa se guzarish hai ki
In links ko open karke puri post padhen.
Aur Like, Comment aur Share karen.

Neki ki baat sikhane wala bhi neki karne wale jaisa hai.
*********
ALLAH ta’ala us ke Habeeb sallallahu alaihi wa sallam ke sadqe me
Sab ko Ka’abatullah aur Roza e Rasool ki ziyarat ki sa’adat ata farmae.
Aameen
ref:
@[381371491933711:]

Allah Ta’ala in saare
masail ko hamen samajhne yaad rakhne aur
usse bhi zyada Amal ki toufiq ataa farmaye Aameen

Source:http://www.diniraah.net/

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm