Islamic Blog

Ek aurat ek Aalim (Islamic Scholar) ke paas gayi aur unse kaha ki mere BHAI ka intekal ho gaya hai aur usne 600 Dihrams chodh kar gaya hai, jab ghar ke logo ne use taqseem (Divide) kiya to unhone ne mujhe sirf 1 Dihram hi diya.

Aalim kuch der sochne ke baad unhone ne kaha “Wo isiliye ki Apke bhai ki ek biwi, ek maa, 2 betia, aur 12 bhai hai ”

Wo Aurat chauk gayi aur kaha aapne to sahi kaha, Aalim ne kaha ki unhone apko barabar Dihram taqseem kiya hai aur unhone ne aapse dhoka nahi kiya.

1) Uski Wife ka 1/8th Hissa hai jo ki 75 Dihrams banta hai

2) Do betio ka 3/4th Hissa hai jo ki 400 Dihrams banta hai

3) Maa ka 1/6th hissa banta hai jo ki 100 Dihrams banta hai

4) Ab bache 25 Dihrams to usme me se 12 bhaiyo ko bahen ka dugna (double) milta hai jo ki 12 bhaiyo ka hua 24 Dihrams aur jo 1 Dihram bacha wo apka

Isse wo Aalim ne us aurat ko itminan dilay ki unhone unse dhoka nahi kiya
Virasat ke baare me janne ke liye Quran ki Surah Nisa padhiye

Shortly translated in urdu/hindi from book “Gems & Jewels” by Abdul Malik Mujahid

Source : shukrannallah

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm