Islamic Blog

WALEEMA KI DAWAT KARNA SUNNAT HAI

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Abdur Rahman bin Auf Razi Allahu Anhu (k kapdo par) zardi ka nishaan dekha to pucha “Ye kya hai?” Hazrat Abdur Rahman Razi Allahu Anhu ne arz kiya “Mene ek nawaat sooney (gold) k badle aurat se shadi ki hai” Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya “Allah tujhe barkat de waleema kar khawah ek bakri se hi ho”. (Muttafiqun Alaih, Al loo loo wal Marjaan Hadees no. 899)

Wazahat: Nawaat ki miqdaad taqreeban teen (3) gram k barabar hai.


DAWAT E WALEEMA QUBOOL KARNA WAJIB HAI

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: “Jab tum mein se kisi ko khane ki dawat di jaye to use qubool kare, chaahey to khana khaye chaahe to na khaye”. (Sahih Muslim Kitabun Nikah)


JIS DAWAT E WALEEMA MEIN AAM AADMIYO KO NA BULAYA JAYE KHAWAAS KI DAWAT KI JAYE WO BADTAREEN WALEEMA HAI
BILA UZR DAWAT E WALEEMA QUBOOL NA KARNE WALA ALLAH AUR USKE RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM KA NAFARMAAN HAI

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya “Waleema k khano mein se sab se badtareen khana wo hai jisme aane k khuwahish-mando ko na bulaya jaye aur inkaar karne walo ko bulaya jaye aur jisne dawat qubool na ki usne gooya Allah azza wa jall aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki nafarmaani ki”. (Mukhtasar Sahih Muslim Hadees no. 827)


JIS DAWAT MEIN HARAAM KAAM (NAACH GAANA WAGAIRAH) YA HARAAM ASHYAAR (MASALAN SHARAAB WAGAIRAH) KA EHTAMAAM KIYA GAYA HO USME SHIRKAT KARNA MANA HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallhu Alaihi Wa Sallam ne farmaya “Jo shaks Allah aur yaum e aakhirat par emaan rakhta hai wo aese dastarkhuwaan par na baithey jis par sharaab rakkhi gayi ho”. (Musnad Ahmad, Gulail 6/7)

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne Hazrat Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu ko khaane ki dawat par bulaya Hazrat Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu ne ghar mein diwaar par tasweer wala pardah dekha to Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu ne kaha “Aurato ne hamey (ye pardah lagaane par) majboor kar diya” Hazrat Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu farmane lage “Mujhe khadsha tha shayad ye koi doosra shaks aesa kaam karega lekin tum se ye tooqey (ummeed) na thi wallah! mein tumhara khana nahi khaunga” aur (ye keh kar khana khaye bagair) wapas palat gaye. (Sahih Bukhari Kitabun Nikah)


RIYA, TAKABBUR, FAKHAR AUR BADAAYI ZAHIR KARNE WALE LOOGO KI DAWAT MEIN SHIRKAT KARNA MANA HAI

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai “Nabi E Akram Sallallhu Alaihi Wa Sallam ne baa’hum fakhar jatlaane walo k khane se mana farmaya hai”. (Sahih Sunan Abu Dawood Hadees no. 3193)

Source:http://muhammadiblog.blogspot.in/

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm