Islamic Blog

» Hiqayat :
Hazrate Haatim Asam (Rahmatullah Alayh) Ek Martaba Kahin Baaher Safar Me Jane Lage Tou Apni Biwi Se Farmaya Ki Main 4 Mahine Tak Baaher Rahunga Tumahre Waaste Kis-Qadr Kharch Muhaiyya Ker Jaoun?
Unohne Jawab Diya Ki Jis-Qadr Aapko Meri Zindagi Manzoor Hain!
Hazrat Ne Farmaya – “Tumahri Zindagi Mere Hath Me Tou Nahi!”
Biwi Saahiba Ne Jawaab Diya, “Tou Meri Rozi Bhi Aapke Hath Me Nahi Hain!”
Hazrate Haatim Jab Chale Gaye Tou Ek Budiya Ne Hazrat Ki Biwi Se Pucha Ki “Haatim Aapke Waaste Kitni Rozi Chhod Gaye Hain!”
Unohne Jawab Diya Ki “Hazrat Haatim Tou Khud Hi Rozi Khane Wale The! Jo Khane Wala Tha, Wo Chala Gaya Aur Jo Dene Wala Hain Wo Yahin Hain!”
– (Tazkiratul Auliya Pg-301)
» Sabaq : Huzoor (Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Ummat Me Aisi Paak-Baaz Auratain Bhi Guzri Hain Jo Badi Nek Aur Haq-Ta’aala Per Kaamil Ehtemaad Aur Bharosa Rakhne Wali Thi!
Ye Allah is ummat ki hr aurat ko Nek or Paak daman bna de.
Aameen
SUBHAN ALLAH

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm