Islamic Blog

Mard ko shadi ke baad apni biwi ki zimmedari nibhana zaruri hai, agar koi insan usme kami karta hai to islam ke hisab se wo gunahgar hai.
Quran mein Allah farmata hai ki
AURATON ka HAQ MARDO par aisaa hi hai jaisaa AURATON par (mardo ka) hai. [SURAE BAQRAH:228]
MARD ke ye liye zaruri hai ki BIMAARI mei apni biwi ka ILAAJ KARAAYE, kabhi-kabhi usko uske ghar walo se milata rahe.
Abdullah bin abbas (radi allahu anhu) farmate hain (jiska matlab ye hai ki) mein apni biwi ko khush karne ke liye acche kapde pahanta hu, kyonki jab maile kapde mein wo mujhe buri malum hoti hai to mai bhi maile kapdo mein usko bura maloom hota hunga.
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ki (jiska matlab ye hai ki) agar tum akherat mein mere karib rahna chahte ho to apni biwi ko khush rakho, aur uski khushi ke liye uske ghar walo aur uski saheliyo se bhi acche se raha karo.
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ne farmaya ki (jiska matlab ye hai ki) TUM MEIN sabse accha wo hai jo APANI BIWI ke liye accha ho aur mai APANI BIWI ke liye TUM mein SABSE BEHTAR hu.
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) ghar mein apni biwi ke saath ghar ka kaam mein madad bhi karte the.
Hazrat Muhammad (sallallahu alyhiwasallam) isha ki namaz ke baad zyadatar ghar se bahar nahi nikalte the aur na kisi se mila karte the kyonki ye time ghar par diya karte the.
Agar miya-biwi ek dusre ko muskura kar dekhte hain to Allah un dono ko muskura kar dekhta hai. Yaan miya-biwi ka ek dusre se hasna-bolna, pyar se saath mein rahna bhi neki hai.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm