Islamic Blog

Azwaje mutahhirat :
(Wives of Holy Prophet sallallahu alaihi wasallam)
(1) Khadeejah bint Khuwaylid radiallahu ta’ala anha
(Wiladat 555 A.D. – Nikah 595 A.D. – Wisal 10 Nabawi [619 A.D.], Jannatul Mualla, Makka)
(2) Sawdah bint Zam’a radiallahu ta’ala anha
(Wiladat 569 A.D. – Nikah 10 Nabawi [619 A.D.] – Wisal 23 Hijri [645 A.D.], Madina)
(3) Aaisha bint Abu Bakr Siddiq radiallahu ta’ala anha
(Wiladat 614 A.D – Nikah 2 Hijri [624 A.D.] – Wisal 57 Hijri [678 A.D.], Madina)
(4) Hafsa bint Umar Farooq radiallahu ta’ala anha
(Wiladat 609 A.D. – Nikah 3 Hijri [624 A.D.] – Wisal 45 Hijri [666 A.D.], Madina)
(5) Zaynab bint Hazeema (Ummul Masaakin) radiallahu ta’ala anha
(Wiladat 595 A.D. – Nikah 4 Hijri [626 A.D.] – Wisal 6 Hijri [627 A.D.], Madina)
(6) Hind bint Abu Umayya Sohail (Umme Salma) radiallahu ta’ala anha
(Wiladat 600 A.D. – Nikah 4 Hijri [626 A.D.] – Wisal 62 Hijri [681 A.D.], Madina)
(7) Zainab bint Hajash radiallahu ta’ala anha
(Wiladat 593 A.D. – Nikah 4 Hijri [627 A.D.] – Wisal 20 Hijri [641 A.D.], Madina)
(8) Juwairiya bint Haris radiallahu ta’ala anha
(Wiladat 608 A.D. – Nikah 5 Hijri [628 A.D.] – Wisal 50 Hijri [670 A.D.], Madina)
(9) Ramlah bint Abi Sufyan (Umme Habeeba) radiallahu ta’ala anha
(Wiladat 589 A.D. – Nikah 5 Hijri [628 A.D.] – Wisal 44 Hijri [665 A.D.], Madina)
(10) Safiyya bint Huyaee radiallahu ta’ala anha
(Wiladat 610 A.D. – Nikah 5 Hijri [629 A.D.] – Wisal 50 Hijri [670 A.D.], Madina)
(11) Maymuna bint Haris Aamariya radiallahu ta’ala anha
(Wiladat 594 A.D. – Nikah 6 Hijri [630 A.D.] – Wisal 51 Hijri [671 A.D.], Sarif , Makka)
(12) Maria Qibtiyya radiallahu ta’ala anha
(Nikah 8 Hijri [630 A.D.] – Wisal 16 Hijri [637 A.D.],)
25aa25aa► Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne sab se pehla nikah Hazrate Khadeejtul Kubra radiallahu ta’ala anha se kiya jo bewa thi. Us waqt Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki umr 25 baras aur Hazrate Khadeejtul Kubra radiallahu ta’ala anha ki umr 40 baras thi.
25aa25aa► Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne Hazrate Khadeejtul Kubra radiallahu ta’ala anha ki hayat me kisi dusri aurat se nikah nahi kiya tha. Aap ke inteqal ke baad hi Huzoor sallallahu alaihi wasallam ne dusra nikah kiya.
25aa25aa► Hijrat ke waqt Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki ek hi biwi thi – Hazrate Sawdah bint Zam’a radiallahu ta’ala anha. Baqi tamam nikah aap ne Madina shareef aakar kiye.
25aa25aa► Azwaje mutahhirat me se Hazrate Aaisha bint Abu Bakr Siddiq radiallahu ta’ala anha hi kunwari (virgin) thi, Baqi tamam ya to bewa thi ya talaaq-shuda thi. Aur aap sab se kam umr ki thi.
25aa25aa► Hazrate Khadeejatul Kubra aur Hazrate Zainab bint Hazeema radiallahu ta’ala anha ka wisal Huzoor sallallahu alaihi wasallam ki hayate zaahiri me hua. Aur baqi 10 Azwaje mutahhirat aap sallallahu alaihi wasallam ke wisal ke waqt maujood thi.
25aa25aa► Tamam Azwaje mutahhirat me Hazrate Umm Salma radiallahu ta’ala anha ka wisal sab se aakhir me hua.
Aulade Amjaad :
(Children of Holy Prophet sallallahu alaihi wasallam)
(1) Hazrate Khadijatul Kubra radiallahu ta’ala anha se aap ke 2 sahabzaade aur 4 sahabzadiya hain.
Sahabzade : Qaasim, Abdullah,
Sahabzadiya : Zainab, Ruqayya, Umm Kulsoom, Fatima Zahra
(2) Hazrate Maria Qibtiyya radiallahu ta’ala anha se aap ke 1 sahabzade hain.
Ibraheem
Sahabzade :
(1) Qasim radiallahu ta’ala anhu (Wiladat 604 A.D. – Wisal 605 A.D., Jannatul Mualla, Makka)
(2) Abdullah radiallahu ta’ala anhu (– Wisal 615 A.D.)
(3) Ibraheem radiallahu ta’ala anhu (Wiladat 8 Hijri – Wisal 10 Hijri [632 A.D.], Jannatul Baqee, Madina)
Sahabzadiya :
(1) Zainab radiallahu ta’ala anha (Wiladat 597 A.D. – Wisal 8 Hijri [629 A.D.], Jannatul Baqee, Madina)
(2) Ruqayya radiallahu ta’ala anha (– Wisal 2 Hijri [624 A.D.], Jannatul Baqee, Madina)
(3) Umm Kulsoom radiallahu ta’ala anha (Wiladat 600 A.D. Wisal 8 Hijri [630 A.D.], Jannatul Baqee, Madina)
(4) Fatima Zahra radiallahu ta’ala anha (Wiladat 605 A.D. – Wisal 11 Hijri [632 A.D.], Jannatul Baqee, Madina)
25aa25aa► Aap sallallahu alaihi wasallam ki tamam aulade amjaad ka inteqal aap ki hayate zaahiri me hua siwa e Fatima Zahra. Hazrate Fatima radiallahu ta’ala anha ka wisal Huzoor sallallahu alaihi wasallam ke wisal ke 6 mahine baad hua.
25aa25aa► Hazrate Zainab radiallahu ta’ala anha ka nikah Abul Aas ibn al-Rabee radiallahu ta’ala anhu se hua.
Hazrate Ruqayya radiallahu ta’ala anha ka nikah Hazrate Usman Ghani ibn Affan se hua (610 A.D.). Aur unke inteqal ke baad Hazrate Umm Kulsoom radiallahu ta’ala anha ka nikah Hazrate Usman Ghani ibn Affan se hua (2 Hijri [624 A.D.]).
Hazrate Fatima radiallahu ta’ala anha ka nikah Hazrate Ali ibn Abu Taalib radiallahu ta’ala anhu se hua (2 Hijri [623 A.D.]).
25aa25aa► Sayyeda Fatima radiallahu ta’ala anha aur Hazrate Ali radiallahu ta’ala anhu ki aulad ya’ni Imame Hasan aur Imame Husain radiallah ta’ala anhuma ko ‘Aale Rasool’ ka martaba mila hai aur Unki aulad ko ‘Saadat’ ka martaba mila hai.
Ahle Bait aur Unka Martaba :
Ahle Bait ya’ni Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ke ghar (khandan) wale.
Ahle bait me shamil hain :
(1) Rasoolullah sallallahu alaihi wasallam ki Azwaje mutahhirat (wives) aur Aap ki Aulade amjaad
(2) Hazrate Ali, Jaafar wa Aqeel ibne Abu Talib Radiallahu ta’ala anhuma
(3) Hazrate Ameer Hamza ibne Abdul Muttalib Radiallahu ta’ala anhu
(4) Hazrate Abbas ibne Abdul Muttalib Radiallahu ta’ala anhu aur Abdullah wa Fazal ibne Abbas Radiallahu ta’ala anhumama
(5) Hazrate Sufyan, Rabiaa wa Ubaida ibne Haris Radiallahu ta’ala anhuma.
Huzoor Muhammad Mustafa sallallahu alaihi wasallam ke saath Hazrate Ali, Hazrate Bibi Fatima, Imame Hasan aur Imame Husain Radiallahu ta’ala anhuma ‘Panjan’ me shamil hain.
Hazrate Ali radiallahu ta’ala anhu aur Bibi Fatima radiallahu ta’ala anha ki aulad ya’ni Imame Hasan aur Imame Husain radiallah ta’ala anhuma ko ‘Aale Rasool’ ka martaba mila hai aur Unki aulad ko ‘Saadat’ ka martaba mila hai.
Imame Hasan Mujtaba radiallahu ta’ala anhu ki nasl Imame Hasan Musanna radiallahu ta’ala anhu se jaari hai. Aur Imame Husian radiallahu ta’ala anhu ki nasl Imame Zainul aabedeen radiallahu ta’ala anhu se jaari hai.
25aa25aa► Ye martaba in Hazraat ko nisbate Rasoolallah ki wajah se mila hai. Koi bhi Imam ya Wali ko ye martaba hasil nahi.
(1) 33 Surah Al-Ahzab Aayat 33 :
ALLAH to yehi chahta hai ke Aye Alhe bait, Tum se har napaaki door kar de aur tumhe paak kar de khub saaf kar de.
(2) Hadeese Nabawi :
Main tum me 2 bhari (qeemati) chize chhod raha hu (1) Kitaab (Qur’an shareef) aur (2) Mere Ahle bait. In dono ko mazbooti se thame rehna take tum gumrah na ho.
(3) Hadeese Nabawi :
Mere Ahle bait Hazrate Nooh alaihissalaam ki kashti ke maanind hain, Jo unke saath ho gaya wo najaat paaya aur jo un se door hua wo doob gaya.
(4) Hadeese Nabawi :
Mujh se mohabbat rakhte ho is bina par mere Ahle bait se bhi mohabbat karo.
(1) Azwaje mutahhiraat (Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ki biwiya) Ummahatul mo’mineen hain ya’ni Tamam ummatiyo ki maan.
(2) Hazrate Ali radiallahu ta’ala anhu Maula e kaainat aur Fatehe Wilayat hain.
Hadeese Nabawi : Huzoor sallallahu alaihi wasallam farmate hain Ali mujh se hai aur Main Ali se hu. Aye ALLAH, Tu usko dost rakh jo Ali se dosti rake aur zaleel kar usko jo Ali se dushmani rakhe. Jiska main Maula hu, Ali bhi uska maula hai.
Aye Ali, Tumhara martaba mere darbaar me aisa hai jaisa Hazrate Moosa ke darbaar me Hazrate Haroon ka.
(3) Hazrate Fatima Zehra radiallahu ta’ala anha Khtoone Jannat aur Sayyedatan Nisa hain ya’ni Tamam jannati aurto ki Sardar.
(4) Hazrate Imame Hasan aur Imame Husain radiallahu ta’ala anhuma Sayyedsh Shababi Ahlil Jannah hain ya’ni Tamam jannati nau-jawano ke Sardar.
Hadeese Nabawi : Husain mujh se hai aur Main Husain se hu. Aye ALLAH, Tu us se mohabbat kar jo Husain se mohabbat kare.
(5) Hazrate Ameer Hamza ibne Abdul Muttalib radiallahu ta’ala anhu Sayyedush Shohada hain ya’ni Tamam Shaheedo ke Sardar.
(6) Hazrate Ameer Hamza ibne Abdul Muttalib radiallahu ta’ala anhu ke waseele se Khalifa aur Ameerul mo’mineen Hazrate Umar Farooq radiallahu ta’ala anhu dua mangte hain to baarish hoti hai.
(7) Sab se pehli jang – Jange Badr me Rasoolallah sallallahu alaihi wasallam ne sab se pehle kaafiro ke muqabale me Hazrate Ameer Hamza ibne Abdul Muttalib, Hazrate Ali aur Hazrate Ubaida ibne Haris Radiallahu ta’ala anhuma ko bheja tha.
Aaimma e Ahle bait :

Mas’ala :
Ahle bait ko Zakat ya sadqa dena mana hai. Unhe sirf hadiya de sakte hain.
ALLAH ta’ala uske Habeeb sallallahu alaihi wasallam ke sadqe me Sab ko mukammal ishqe rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifazat farmae. Aur Sab ko Alhe bait ki sachi mohabbat ata farmae aur unki Taazeem karne ki aur unko hajat me imdad karne ki taufiq ata farmae. Aur Ahle bait ke waseele se Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur Sab ko dunya wa aakhirat me kamyabi ata farmae aur Sab ki nek jaiz murado ko puri farmae.
Aameen.

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm