Islamic Blog

(1) Hadees e Nabawi :

Hazrat Abu Darda radiy-Allāhu ta’ala anhu se riwaayat hai ki
Huzoor Rasool-Allāh sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya
ا و ل من یبد ل سنتی ر جل من بنی ا میۃ یقا ل لہ یز ید
Meri sunnat ko badalne waala pehla shakhs Banu Umayya me se hoga jis ka naam Yazeed hoga.

(2) 59 Hijri me sahaabi e Rasool Hazrat Abu Huraira radiy-Allāhu ta’ala anhu ne Dua ki :
ا للھم ا نی ا عو ذ بک من را س ا لستین و ا ما ر ۃ ا لصبیا ن
‘Ya Rab! Main teri panaah maangta hu San 60 Hijri ke aaghaaz se aur ladkon ki hukoomat se.’

Ya’ni Hazrat Abu Huraira radiy-Allāhu ta’ala anhu haamil e asraar the aur unhe maaloom tha ke 60 hijri ka aaghaaz faasiq ladko ki hukoomat aur fitnon ka waqt hai.
Un ki ye Dua qubool hui aur 59 hijri me Madeena shareef me aap ka wisaal hua.

(Sehwaan e Karbala, Safa -71)

(3) Ghasal ul malaaika Hazrat Hanzala radiy-Allāhu ta’ala anhu ke saahabzaade Hazrat Abdullāh bin Hanzala radiy-Allāhu ta’ala anhu farmaate hain :
‘ALLĀH ki qasam hum ne us waqt Yazeed par hamle ki Tayyari jab hume andesha hua ki uski badkaariyo ke sabab aasamaan se pattharo ki baarish hokar azaab e ilāhi naazil na ho jaaye. Yazeed apni maa, bahen aur betiyo se zina karta tha, sharaab peeta tha aur namaaz nahi padhta tha.’

(Tabaqat al-Kubra, Jild -05 Safa -66)

(3) Hazrat Nufil bin Abul Furaat rahmatullāhi alaihi se riwaayat hai ki
‘Main ek Roz Khaleefa Hazrat Umar bin Abdul Azeez rahmatullāhi alaihi ke paas baitha tha ke Yazeed ka zikr hua aur ek shakhs ne use Ameer ul Momineen Yazeed bin Muawiya kaha to Hazrat Imaam Umar bin Abdul Azeez ne us shakhs se farmaaya ke tu use Ameer ul Momineen kehta hai. Phir aap ne hukm diya ke Yazeed ko Ameer ul Momineen kehne waale shakhs ko 20 kode lagaaye jaaye.’

(Imaam as-Suyuti, Taareekh ul Khulfa, Safa -167)

Hazrat Imaam Umar bin Abdul Azeez rahmatullahi alaihi Banu Umayya ke hi ek fard hain aur aap pehli sadi ke mujaddeed e Islaam hain.

****************
Yazeed Hazrat Muawiya bin Abu Sufyaan aur Maysun binte Bajdal al-Kulaibi al-Nasrania ka beta hai, jo 26 Hijri (647 A.D.) me paida hua.

Hazrate Ameer Muawiya ke inteqaal ke baad Yazeed ne khud ko khalifa bana diya. Magar musalman us ko khalifa maanne ke liye tayyaar nahi the kyun ki us ke Fisq wa Fujoor ka ye aalam tha ke us ne apni maa, behno aur betiyon se Nikaah karna jaa’iz kar diya tha, Sharaab peena jaa’iz kar diya tha aur deegar maanihaat e shariya ka elaaniya kar raha tha aur logo ne Namaaz chhod di thi.

Yazeed ne Madeena me Hazrat Husain ibn Ali, Abdur Rahmān ibn Abu Bakr, Abdullāh ibne Umar Farooq aur Abdullāh ibn Zubair radiy-Allāhu ta’ala anhuma ko bai’at ke liye kaha.
Unho ne Yazeed se bai’at karne se inkaar kiya.
Kyun ki Yazeed Faasiq tha aur har kaam khilaaf e shariat karta tha.

Jab Yazeed ka zulm badhne laga to Imaame Husain Maahe Sha’abaan me Madeena se Makka rawaana ho gaye ke Madeena me jung na ho aur khoon-rezi na ho.

Kuchh mahine tak aap Makka mukarrama me rahe. Lekin jab aap Ahle bait aur apne saathiyo ke saath Makka se Kufa ki taraf ja rahe the tab Yazeed ne Kufa ka governor Ubaidullāh ibne Ziyad ko kehkar Umar ibn Sa’ad ki sardaari me ek bada lashkar bheja.
Us lashkar ne aap ko Karbala me gher liya aur Nehre Furat (Euphrates) par qabza kar liya aur aap ko aur aap ke saathiyo ke liye paani band kar diya aur be-shumaar gustakhiya aur zulm kiye.

Aap ne Islaam ki hifazat ke liye us lashkar ke saath jung ki.
Jis me ek ke baad ek aap ke jaan-nisaar saathi aur phir Aap ke bhai Hazrate Abbaas radiy-Allahu ta’ala anhu aur deegar bhai, aap ke bhatije Hazrate Qaasim, Abu Bakr aur Abdullāh bin Hasan, aap ke bhanje Hazrate Aun aur Muhammad ibn Abdullāh aur aap ke bete Naujawaan Hazrte Ali akbar aur 6 maah ke Ali asghar aur deegar Ahle bait shaheed ho gaye.

Aakhir me aap bhi jung ke liye aaye.
Aur jung ke dauraan namaaz e Zohar padhte waqt haalat e sajda me Shimr ibn Zil-Jawshan ne khanjar se Imaam Husain ko shaheed kar diya aur Khauli bin Yazeed ne aap ke sar ko kaatkar jism se juda kar diya.

Imaame Husain Imaam e Aali maqam aur Sibt e Rasool-Allāh hain.

Aap ke baare me Huzoor sallallāhu alaihi wa sallam ne farmaaya hai :
(1) Hasan aur Husain jannati jawaano ke sardaar hai.
(2) Husain mujh se hai aur Main Husain se.
(3) Jis ne Husain se mohabbat ki us ne mujh se mohabbat ki.
Aye ALLĀH! Tu us se mohabbat kar jo Husain se mohabbat kare.

Magar Yazeed ne Imaame Husain aur Ahle bait aur Aashiqaan e Ahle bait par be-shumaar zulm kiye.

Is ke baad wo zaalim Yazeedi lashkar Imaam Zain-ul-aabideen Ali al-Awsat bin Husain aur deegar ahle bait, aurto aur bacho ko zanjeero me qaid karke Kufa se hote hue Yazeed ke darbaar me Damishq le gaye.
Kuchh waqt baad aashiqaan e Ahle bait ne jung karke un ko aazaad karaya.

Is dauraan Makka waalo ne Hazrat Abdullāh ibne Zubair radiy-Allāhu ta’ala anhu se bai’at karke aap ko khalifa banaya.
Hazrat Abdullāh ibne Zubair Hazrat Zubair ibn Awwaam aur Hazrate Asma binte Abu Baqr Siddeeq radiy-Allāhu ta’ala anhuma ke saahabzaade hain.

Phir unho ne Muslim ibn Shihaab ke saath aahista aahista Arab ke dusre ilaaqe, Iraq, Shaam aur Misr ke ilaaqo me islami hukoomat haasil ki.
Yazeed ne aap ko rokne ke liye Muslim bin Aqba ke saath lashkar bhejkar Madeena munawwara par hamla kiya aur Jung e Harrah hui aur phir Hasin bin Nazeer ki sardaari me Yazeedi lashkar us ne Makka mukarrama ko gher liya.
Magar us dauraan Yazeed ki maut se ye jung band hui.

Yazeed paleed ne Masjid e Nabawi aur Baitullāh shareef ki sakht be-hurmati ki.
Hazaaron Ashaaba wa Taabi’een radiy-Allāhu ta’ala anhuma ka be-gunaah qatl e aam kiya, Madeena e tayyibah ki paak daaman khawaateen ko apne lashkar par halaal kiya, Madeena ke logo aur makaano me loot chalai, Masjide nabawi ke muqaddas sutoono se ghode aur jaanwar baandhe aur masjid ko in jaanwaro ki naapaaki se aalooda kiya.
Minjanik (patthar phenkne waala hathiyar) ke zariye Khaana e Ka’aba par musalsal itni kasrat se patthar barsaaye ke sehan e Ka’aba me har taraf pattharo ke dher nazar aate the, Masjide Haram ke kai Sutoon shaheed ho gaye, Gilaafe Ka’aba jala diya.

****************
Yazeed ka dardnaak anzaam :
‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾‾
Damishq ke bhare darbaar me Ahle Bait ke ek mazloom ne Yazeed ko mukhaatib karte huwe kaha ‘Aye Yazeed! Sun le, Husain ke khoon se jis saltanat ki bunyaad ko tune paani diya hai teri aulaad bhi us par nahi thoonkegi.’
Is sunkar saare darbaar me sannaata chhaa gaya tha. Sab ke dilon me yeh baat utar gai thi ki khaandaan e Ahle bait e risaalat ke mazloom ki yeh aah kabhi khaali nahi jaayegi.

Waqiya e Qarbala ke kuchh hi dino baad Yazeed ek muhlik aur intehai muji marz me mubtila huwa. Aanto ke zakhm aur pait ke shadeed dard ki wajah se tadapta rehta tha.

Aakhri waqt me us ne apne bade bete Muawiya ko bistar e murg par bulaaya aur umoor e saltanat ke baare me kuchh kehna hi chaahta tha ki be-sakhta bete ke moonh se ek cheekh nikli aur nihaayat zillat aur hiqaarat ke saath baap ki paishkash ko thukra diya aur kehne laga ‘Jis taaj wa takht par khoon e Aale Rasool ke dhabbe hain main use hargiz qabool nahi kar sakta. Khuda is manhoosh saltanat ki wiraasat se mujhe mehroom rakhe jis ki bunyaad Sibt e Rasool ke khoon par rakhi gai hai.’
Yazeed apne bete ke yeh alfaaz sunkar tadap gaya aur shiddat e ranj wa alam se bistar par paav patakne laga.

Maut ke kuchh din pehle Yazeed ki aante sad gai aur us me keede pad gaye aur takleef ki siddat se khinzeer ki tarah cheekhta tha. Paani ka qatra halaq se neeche utarne ke baad nastar ki tarah chubhne lagta tha. Ajeeb qaher e Ilāhi tha ki paani ke bagair bhi tadapta tha aur paani pee kar bhi cheekhta tha.
Bil aakhir usi dard ki shiddat se tadap tadap kar 15 Rabi ul Awwal 64 Hijri (14 November 683 A.D.) ko us ki jaan nikli.

Us ki laash me aisi haulnaak bad-boo thi ke qareeb jaana mushkil tha. Jaise taise us ko supurd e khaak kiya gaya.
(Naqsh-e-Karbala, Safa -65)

****************
ALLĀH ta’ala us ke Habeeb sallallāhu alaihi wa sallam ke sadqe me aur Ahle bait ke waseele se
Sab ko mukammal ishq e Rasool ata farmae aur Sab ke Eimaan ki hifaazat farmae aur Ahle bait aur Saadaat-e-kiraam ki sachi mohabbat ata farmae aur Sab ko nek amal karne ki taufiq ata farmae aur bad-mazhabo aur kaafiro se hifaazat farmae.
Aur Sab ko dunya wa aakhirat me kaamyaabi ata farmae aur Sab ki nek jaa’iz muraado ko puri farmae.
Aameen.

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm