Islamic Blog

Zakat islam ki 5 buniyadi baaton mein se ek baat hai, aur zakaat dena farz hai. Jo insan zakat nahi deta wo gunahgaar hai aur marne ke baad aese logo ko bahut bada azab bhugatna hoga, Jiske pass sona ya chaandi ho aur uski zakat na deta ho, aese insan ke liye kayamat ke din aag ki takhtiya banai jaaegi fir unko dozakh ki aag mein garam karke uske dono karwnato, peshaani, aur peeth par daagi jaaegi, aur jab ye thandi ho jaaegi to phir garm kar li jaaegi.
Jo apne maal ki zakaat nahi deta, akehrat mein uske maal ko ek zehrila, bada, ganja saanp bana diya jaaega aur zakat na dene waale ki gardan mein daal diya jaaega, wo saanp uske dono jabde nochega aur kahega, mein hi (duniya mein) tera maal tha, mein hi tera khazana tha.
Bhaiyo-bahno, thode se rupye bachane ke liye bhala itne bade-bade azaab kon sahan kar sakta hai, aur humko to Allah ne jo maal diya hai uska sirf 2.5% hi to zakaat mein dena hai, baaki 97.5% to apne pass hi rakhna hai. Allah ke diye maal ko Allah ke hi kehne par na dena acchi baat nahi.
Zakaat dene se Allah ka hukm pura hota hai aur humko sawab bhi milta hai, zakaat se hamara saara maal paak saaf ho jata hai, Allah hamare maal mein barkat deta hai, jis maal/sona/chaandi ki zakat di jaati hai usko paani duba nahi sakta, chor chura nahi sakta aur aag jala nahi sakti, Allah uski hifazat karta hai.
Allah har insan ko islam ko samajhne aur us par amal karne wala bana de. Aameen.

Asalam-o-alaikum , Hi i am noor saba from Jharkhand ranchi i am very passionate about blogging and websites. i loves creating and writing blogs hope you will like my post khuda hafeez Dua me yaad rakhna.
mm