Islamic Blog

Urdu Translation:- Hazrat Abu Huraira RadiyAllahu se Riwayat hai ke RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne irshad Farmaya: Jo shaks sone ya Chandi ka Malik ho aur wo us ka Haq (zakat) ada na kare to Qayamat ke din us ke liye Aag ki Takhtiyan tayyar ki jayengi aur un ko Jahannam ki Aag mein Tapaya jayega, phir un se us shaks ka pahlu, paishani aur kamar daag di jayegi, Jab bhi ye Takhtiyan thandi hongi unhen dobara Garam kiya jayega, Aur Qayamat ke us din mein Jis ki Meqdar Dunya ke hisab se 50 Hazar baras hogi Fariza zakat mein kotahi karne wale ke sath Darj bala Holnak Azab baar baar dohraya jayega.
[Urdu Ref :: Sahih Muslim :: Vo. 3 :: Hadith 2290]
————————————————————
✦ Qayamat ke din uska Maal Nihayat Zahreele Ganje Saanp ki Shakal Ekhtriyar kar lega ✦
Urdu Translation: Abu Hurairah Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya ki jisey Allah ne maal diya aur usney uski zakaat ada nahi ki to Qayamat ke din uska Maal nihayat zahreele ganje saanp ki shakal ikhtriyar kar lega uski aankhon ke pass do siyah (black) nuqtey honge jaise saanp ke hote hain phir wo saanp uske dono jabdo se usey pakad lega aur kahega ki main tera maal aur khazana hun. [Urdu Ref :: Sahih Bukhari :: Vol 2 :: Hadith1403]

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm