Islamic Blog

Assalamu Alaikum
AL QURAN > ☆ JAB ZAMEEN POORI TARHA “JHANJHOR” DI JAYEGI – AUR – APNE “BOJH” BAAHAR NIKAAL PHENKE GI
INSAAN KAHNE LAGEGA > KI, ISE KYA HO GAYA ?
“US DIN” ZAMEEN APNI SAB “KHABRE” BAYAAN KAR DEGI
ISLIYE – KI TUMHARE *RAB* NE USE “HUKM” DIYA HOGA
US ROZ > LOG ALAG – ALAG “GIROH” HOKAR AAYENGE
AUR – UNHE UNKE AAMAL DIKHAYE JAYENGE
PAS – JISNE “ZARRA” BARABAR “NEKI” KI HOGI – WOH USE DEKH LEGA
AUR – JISNE ZARRA BARABAR “BURAYI” KI HOGI – WOH USE DEKH LEGA
→→Surah no 99 – Az zilzal ←←
Dosto’n – AAP (Sal Allahu Alaihe wasallam) ne is Aayat ki TILAWAT Farmayi – Aur poocha > Jaante Ho – Zameen ki Khabre Kya Hain ?
Sahaba (Razi ALLAHU Anhu ) ne Arz kiya > ALLAH aur Uske RASOOL Behter Jaante Hain
AAP ne Farmaya > Us ki khabre yeh Hain ki Jis Bande ya Bandi ne Zameen ki Pusht per Jo kuch kiya Hoga – Us ki Gawahi De gi ki Fula Fula Shaks ne Fala AMAL Fula Din kiya tha
[ Tirmizi – Masnad Ahmed 374 / 2 ]
ALLAH – Hum Sabko Neik Amal ki Tofeek de – aur Zalzale se sabki Hifazat Farmaye
*Aameen ALLAHHUMMA Aameen*

I am noor aqsa from india kolkata i love the islam and rules i am professional blogger and also seo expert learn islam with us.
mm