Islamic Blog

HADEES:-
*********
Aamash Ne Abu Saleh Se, Unohne Hazrat Abu Huraira Aur Hazrat Abu Saeed Khudri Radi-Allahu-Ta’aala Anhum Se Riwayat Ki Hain Ki, Huzoor SALLALLAHU-TA’AALA-ALAIHI-WASALLAM Ne Farmaya, ALLAH-TA’AALA Ne Naam-A-Aamaal Likhne Wale Farishton Ke Ilawa Aise Syyaha (Ghoomne Wale) Farishton Ko Paida Farmaya Jo Zameen May Sargarme Safar Rehte Hain, Jab Wo Kisi Jamaat Ko Zikr May Mashgul Paate Hain To Dusron Se Kehte Hain Ki Idher Apni Matlooba Chiz Ki Taraf Aao, Lihaza Wo Sab Farishte Jama Hojate Hain Aur Uneh Aasmaan Tak Ghere May Le Lete Hain!

ALLAH-TA’AALA Farmata Hain Mere Bandon Ko Tumne Kis Haal May Chhoda? Wo Kya Kar Rahe The?
Farishte Kehte Hain, Ya Rabbul Aalameen! Wo Teri “HAMDH” Teri Bujurgi Aur Teri Tasbih Bayaan Kar Rahe The!

Rab Ta’aala Farmata Hain Kya Unohne Mujhe Dekha Hain?
Farishte Arz Karte Hain, Nahi!

ALLAH-TA’AALA Farmata Hain, Agar Wo Mujhe Dekhlen To Unki Kya Haalat Hogi?
Farishte Arz Karte Hain, Agar Wo Tujhe Dekhlen To Isse Bhi Zyyada Teri Tasbih Wa Tamhidh Karen!

ALLAH-TA’AALA Farmata Hain, Wo Kis Chiz Se Panah Maang Rahe The?
Farishte Kehte Hain, Jahannam Se Panah Maang Rahe The!

Rab-Ta’aala Farmata Hain, Kya Unohne Jahannam Ko Dekha Hain?
Farishte Arz Karte Hain, Nahi!

Rab-Ta’aala Farmata Hain, Agar Wo Jahannam Ko Dekhlen To Unki Kya Haalat Hogi?
Farishte Arz Karte Hain, Ki Agar Wo Jahannam Ko Dekhlen To Usse Aur Zyada Bhaage Aur Nafrat Karen!

Rab-Ta’aala Farmata Hain, Wo Kya Chiz Maang Rahe The?
Farishte Arz Karte Hain, Wo Jannat Ka Sawaal Kar Rahe The!

ALLAH-TA’AALA Farmata Hain, Kya Unohne Jannat Ko Dekha Hain?
Farishte Kehte Hain, Nahi!

Rab-Ta’aala Farmata Hain, Agar Wo Jannat Ko Dekhlen To Unki Kya Haalat Hogi?
Farishte Kehte Hain, Wo Use Aur Zyada Chahege!

Rab-Ta’aala Farmata Hain, Main Tumeh Gawah Banata Hoon Ki Maine Un Sabko Baksh Diya!
Farishte Arz Karte Hain, Un May Fala Bin Fala Bhi Tha Jo Apni Kisi Zarurat Keliye Aaya Tha!
Rab-Ta’aala Farmata Hain, Yeh Aisi Jamaat Hain Jiska Ham-Majlis Wa Ham-Nasheen Bhi Mehroom Nahi Hoga!

“SUBHANALLAH”

(Mukashfatul Kulub, Pg-309)

As-salam-o-alaikum my selfshaheel Khan from india , Kolkatamiss Aafreen invite me to write in islamic blog i am very thankful to her. i am try to my best share with you about islam.
mm